You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Dard se dosti ho gayi yaaro
Dard se dosti ho gayi yaaro
Dard se dosti ho gayi yaaro,
Zindagi bedard ho gayi yaaro.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Duur tak roshni to ho gayi yaaro....
Related SMS
- Hamari baat to aur thi yaaro
- Dil main he mere Dard-e-bhutto
- Jiss din band ho gayi meri Aankhein
- Dil ke armano ki manzil hai teri dosti
- Kya khabar tum ko dosti kya hai
- Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay
- Dard seh ker bhi hamain muskurana para
- Tujh sey dosti karne ka hisab na aya
- Apne dil ka dard batayain kiss ko,
- Dard jitna hai meri nigaho me
- Aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
- Dosti dil hay demagh nahi,
- Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai...!
- Dil ka dard dikhayain kis ko
- Is dard-e-dil ko zamana kya jane,
- Dosti is something that no1 can hate
- Bolti hai dosti chup rehta hai pyar
- Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya....
- Dosti kisi ki riasat nahi hoti
- dosti ko dil say nibhaya
- Dosti ghazal hey gungunanay k liye
- Us dil say pyar karo jo tumhein dard day
- DOSTI - kaho to sirf 2 lafz
- Muje dard-e-ishq ka maza malum hai
- kehte hain uss daur ko dosti
- Yaad rakh ker meri dosti ko tumne
- Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai
- Dosti ki wajah nahin hoti
- Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi
- Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
- To koi kuch na keh k DOSTI NIBHATA HAI.
- Hoti Nahi Dosti
- Dard Ka Tajir...
Usne hothon se chu kar, pani ko gulabi kar diya, Hamari baat to aur thi yaaro, machliyo tak ko bhi sharabhi kar diya
Dil main he mere Dard-e-bhutto "Dard-e-bhutto" "Dard-e-bhutto" Wo hasina wo nilam pari,, hui thi wo election main khari,, na jane kahan se goli chal pari,, hamare lia ho gayi mushkil khari,, Dil main hay mere ""Dard-e-Bhutto"" ""Dard-e-Bhutto"" ha koi muqabla karne wala
Jiss din band ho gayi meri Aankhein, Kayi Aankhon se uss din aansu barseinge, Jo kehte hai bahut bolta hai, Kabhi wohi meri Aawaz sunne ko tarseinge.
Zindagi ke tufano ka sahil hai teri dosti, Dil ke armano ki manzil hai teri dosti, Zindagi ban jaye jannat agar, Maut ane tak sath rahe teri yeh dosti.
Kya khabar tum ko dosti kya hai Ye roshni bhi hai andhera bhi hai Khwahishon se bhara jazeera bhi hai Bohat anmol ek heera bhi hai Dosti ek haseen khwab bhi hai Pass se dekho to sarab bhi hai Dukh milne pe yeh azaab bhi hai Aur yeh pyaar ka jawaz bhi hai Dosti yoon […]
phool ban ker muskurana zindagi hay Musura k ghum bhulana zindagi hay, Mil ker log khush hotay hain to kia howa Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay
Roshni say hamain apnay dil ko jalana para, Dard seh ker bhi hamain muskurana para, Aap log sada hastay rahay, Is liye hamain aanso'on ko chupana para.
Tujh sey dosti karne ka hisab na aya, mere kisi bhi sawal ka jawab na aya, hum to jagte rahe tere hi khayalon main, aur tujhey so kar bhi hamara khuwab na aya...!
Apne dil ka dard batayain kiss ko, Kaun kya bhool gaya hai yaad dilaaye kiss ko, Ruth jaate to manana dushwaar naa tha, Jab wo tallukh hi naa rakhe to manain kiss ko.
Dard jitna hai meri nigaho me, paoge na utna kisi ki raho me, bitani chahte the zindagi jiski bahon me, maut b na mil payi unki panaho me.
Aaj rootha hua ek dost yaad aya, acha guzra hua kuch waqt yad aya, jo mere dard ko sine me chupa leta tha, aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
Dosti dil hay demagh nahi, Dosti soch hai awaz nahi, Koi ankhon say nahin daikh sakta dosti ka rishta, Kion k, dosti ehsas hay andaaz nahi.
Khushiyon par fizaon ka pehra hai, na jane kis umeed pe dil thera hai, aapki ankhon se jhalakte dard ki kasam, yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai...!
paas aa k sab hi dur chale jate hai, hum akailay hain akele hi reh jate hai, Dil ka dard dikhayain kis ko? jab marham lagane wale hi dard de jate hai.
Is dard-e-dil ko zamana kya jane, Ak bewafa ishk ko nibhana kya jaane, Kabr ke ander hota hain kitna dard, Ye uper phul chadhane wala kya jane
Dosti is something that no1 can hate, Dosti is a passion we can never rate; Dosti can happen anytime early or late, Dosti is only Medicine, without Expiry date.
Bolti hai dosti chup rehta hai pyar, hasati hai dosti rulaata hai pyar, milati hai dosti judaa karta hai pyar, phir bhi kyun dosti chor kar log karte hain pyar
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya... us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya.... lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan... chehra bata raha tha k kuch ganwa diya... aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi... or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya... […]
Dosti kisi ki riasat nahi hoti, Zindagi kisi ki amanat nahi hoti, Hamari saltanat main dekh ker qadam rakhna, Kion kay hamari dosti ki qaid main zamanat nahin hoti
Khuda nay dost ko dost say milaya. Doston k liye dosti ka rishta banaya. Par khuda nay farmaya, dosti rahegi uski kayam jisne dosti ko dil say nibhaya.
Dosti ghazal hey gungunanay k liye, Dosti naghma hay sunanay k liye, Yeh woh jazba hay jo sub ko milta nahin, Kiyon k hosla chahiye dosti nibhanay k liye..
Us dil say pyar karo jo tumhein dard day, Per us dil ko kabhi dard na do jo tumhain pyar karay, Q k tum duniya k liyay koi aik ho, Per kisi aik k liyay sari DUNIYA ho.
DOSTI -Kaho to do lafz, -Mano to bandgi, -Socho to gehra sagar, -Dubo to zindagi, -Karo to aasan, -Nibhao to muskil, -Bikhre to sara zamana, -Simte to Sirf Aap.
Muje dard-e-ishq ka maza malum hai, Dard-e-dil ki inteha malum hai, Zindgi bhar muskrane ki dua na dena, Mujhe pal bhar muskrane ki saza malum hai.
Kuch rishte anjaane mein ho jate hai pehle dil phir zindagi se jud jate hai kehte hain uss daur ko dosti jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai
Yaad rakh ker meri dosti ko tumne, Meri zindagi per ehsan kar diya, Is mobile mein yeh last rupiya tha, Daikh wob bhi tere naam kar dia,
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai, Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai. Dosti mein duniya lakh baney rukavat, Agar dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.
Dosti ki wajah nahin hoti, Dosti saza nahin hoti, Dosti me hoti he imandari, Dosti me duniadari nahi hoti, Dost jaan se pyara hota he, Dost se jaan pyari nahin hoti
Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi, Zindagi mein ab teri Ibadat ke siva kuch nahi, Mein Tohfe mein tujhe kya pesh karu, Mere daman mein kaanton ke siva kuch nahi.
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin Woh tou mit […]
Jab koi khayal dil se takrata hai, Dil na chah ker bhi khamosh ho jata hai, Koi sab kuch keh ker dosti jatata hai, To koi kuch na keh k DOSTI NIBHATA HAI.
"Hoti nahi dosti kabhi chehre se" "Dosti to dil se ki jati hay" "Soorat unki khud hi pyari lagti hay" "Kadar jinki dil se ki jati hai.
Kon Tole Ga Hiroon Mein Ab Hamare Ansoo Faraz ? Woh Jo Ik Dard Ka Tajir Tha DukaN Choor Geya...