Hindi SMS Messages

Aey ibne ADAM!

Aey ibne ADAM!

Tujhe kia ho gaya hai?
Tu ne apni namazon,
Duaon aur ibadaton
ko sir pareshani aur museebat
k waqt k liye hi rakha huwa hai,
Tujhey 70ma'aon se ziadah
chahnay wale RAB Ta'AALA ko
sirf apni waqti khuwahishon k liye naraz kia howa hai..
Aey insan, zara soch to sahi...

Mera RUB ibadat k layaiq hai

Main jannat k shoq main ibadat nahi
karta k ye ibadat nahin tijarat hai.

Main dozukh k khof se ibadat nahin
karta k ye ibadat nahin ghulami hai.

Main ibadat sirf iss liye karta hon
k mera RUB ibadat k layaiq hai.
(Hazrat Ali)

Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho

Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho
(Hazrat Ali(R.A)"

NABI KAREEM S.A.W ne farmaya

NABI KAREEM S.A.W ne farmaya:
"libas ki sadgi iman ki alamaton
main se aik alamat hai."

ABU DAUD
(Allah us shakhs ko abad rakhta hai
jo hadis sun k dosre ko phnchaye!)

Quran ka mojza

Quran ka mojza
Lafz "Al-bar" yani "Zameen"
Quran pak main 13 baar aaya hay.
Or
Lafz "AL-Bahar" Yani "Samandar"
32 bar aaya hay.
Total 13+32=45
Zameeni Elaqa:13/45x100=28.89%
Samandri Elaqa: 32/45x100=71.11%

Yani dunia main 28.89 % zameen hay
or 71.11 % samandar hay.
Khushki or pani ka bilkul yahi ratio
aaj ki jadeed science ne daryaft kia hay.
Lekin QURAN PAK ne
1400 saal pehle ye ratio bata dia.

Wo gunah jis ka tumhein ranj ho

Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye".
(Hazra Ali R.A)

Namaz ki shaan

Namaaz ki shaan

Jab tum namaz k liye khare hote ho
to sir se asman tak rahmat-e-ilahi
ghata ban k cha jati hai,
farishtay charon taraf jama ho jate hain.
Ek farishta pukarta hai k
ay namazi agar tu dekh lay k
tere samnay kon hai or tu kis se bat ker raha hai to
Allah ki qasam tu qayamat tuk salam na phere.