You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » jaise sukhe gulab milte hain kitabo me
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me
barso baad na jaane kaun kaha hoga,
hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,
phir milna hua to milenge khwabo me,
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me
Related SMS
- Aap to khud aik gulab hain
- jo khud gulab hai usko kya gulab dun
- Phr milna hua to milenge khwabo me
- Aap jaise log hume kuch khas lagte hai.
- Sukhe phool wapas khila nahi sakte
- Jaise taron ke sath aakash hai
- Hum Jaise Dost Bar Bar Mila Nahi Karte
- SMS ban ke chala ja tu Gulab
- Phulo Mein Haseen Gulab Hai
- Aap k chehre ko gulab likhoonga
- Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs
- Yad kertay hain her sans k baad
- Dil mey KHUDA hain....sub mujh per FIDA hain
- Hum wo ishq hain jo dil bankar dharaktay hain
- Aaj badal kalay gehray hain,aaj chand pay lakhon pehray hain
- kehte hain uss daur ko dosti
- Nikhar Gaye Hain Ghulab Saare
- Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain
- sary jhagre ana key hote hain
- Hum wo dost hain jo roz roz nahin miltay
- Nashili aankhon sey woh jab hamein dekhte hain
- Dono aankho mein ashq liya karte hain
- Zamane se nahin hum tanhai se darte hain
- Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain
- Kia hum kum hain rooshni k liye
- kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate,
- Meri chahatain tumse alag kab hain
- Dost akser yunhi ban jatay hain
- Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain
- Hum bhi kitne nadan hain
- Hum to pagal hain
- Jise hum chahte hai woh auron ke Deewanay hain,
- Zindagi mein hamesha SMART log milenge,
Kaun sa phool paish karon, Koi phool gulab nahin, Aap to khud aik gulab hain, Jiska koi jawab naheen...
Tumhari is ada ka kya jawab du, apne dost ko kya uphar du, koi acha sa phool hota to mali se mangwate, jo khud gulab hai usko kya gulab du...
Salon bad najane kia sama hoga, Hm sb doston me se najane kon kha hoga, Phr milna hua to milenge khuwabo me Jese sukhe gulab milte hain kitabon me!
Aap jaise log hume kuch khas lagte hai. mann me har waqt hum ek aas rakte hai, jaane kab aa jaye sms aapka is liye cell ko dil ke pass rakte hai
Beetay pal wapas la nahi sakte Sukhe phool wapas khila nahi sakte Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye par dil kehta hai k aap hamein bhula nai sakte.
Jaise taron ke sath aakash hai, waise sachi dosti ke sath wishwas hai. Dil ki nazron se dekhogi agar! Hum har waqkt aapke pass hai.
Sitam Karo Na Karo Hum Gila Nahi Karte, Veerano Me Kabhi Phool Khila Nahi Karte, Magar Itna Yaad Rakhna , Hum Jaise Dost Bar Bar Mila Nahi Karte
SMS ban ke chala ja tu Gulab, hogi sachi dosti to aye ga jawab, agar na aaye to tu mat hona udas, tu samajah lena hamare liye waqt nahin hai unke pass
Phulo Mein Haseen Gulab Hai, Parhai Ke Liye Zaroori Kitaab Hai, Duniya Me Har Sawal Ka Jawab Hai, Agar Koi Tumse Mere Bare Me Puche To Kehna Wo Lajawaab Hai
Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga, Apni zindagi per kitaab likhoonga, Aapki gardan(neck) ko phoolon ki tehni, Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.
Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs, Hua chiragh to ghar hi jala gaya aik shakhs, Tamam rang meray aur saray khuwab meray, Fasanay thay k fasana bana gaya aik shakhs, Mein kis hawa main uron kis fiza mein lehraon, Dukhon key jaal her su bicha gaya aik shakhs, Mohabbaton nay kisi ki bhula […]
Sunehri dhoop barsaat k baad, Thori si hansi her baat k baad, Jaisay aati hay subha her raat k baad, Hum aap ko yaad kertay hain her sans k baad..
Dil mey KHUDA hain, Aankh mey NASHA hain, Baat mey MAZAA hain, Chaal mey ADAA hain, Andaaz bhi JUDAA hain, Pyar mey WAFAA hain! Arrey.... isiliye toh sab log Mujh per FIDAA hain...
Hum wo ishq hain jo dil bankar dharaktay hain, hum wo khushbo hain jo baho mein mahakte hain, humse pyar na karna e-zalim hum vo dard hain jo ankhon se chalakte hain..!
Aaj badal kalay gehray hain, aaj chand pay lakhon pehray hain, Kuch tukray tumhari yaadon k, bari dair say dil mein thehray hain,
Kuch rishte anjaane mein ho jate hai pehle dil phir zindagi se jud jate hai kehte hain uss daur ko dosti jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai
Udaas Dil Ki Veeraniyon Mein Bikhar Gaye Hain Ghulab Saare, Yeh Meri Basti Se Kon Guzra Nikhar Gaye Hain Ghulab Saare, Woh Door Ho To Haqeeqaton Par Saraab Ka Ek Gumaan Sa Ho, Woh Pass Ho To Gumaan Ho Ke Haqeeqatein Hain Saraab Saare, Na Jane Kitni Shikayatein Hain Na Jane Kitne Gile Hain Dil […]
Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain, Aur Insaan Zinda rehne se Ghabrata hain, Naa jaane kaise Hazaaron kaanton ke beech, Rehkar bhi ek Phool Muskurata hain.
Qurb key na wafa key hote hain sary jhagre ana key hote hain Wo humara hai is tarha se faiz jaise bande Khuda key hote hain
Hum woh phool hain jo roz roz nahi khiltay, Yeh wo hont hain jo kabhi nahin siltay, Hum se bichro ge to ehsas hoga tumhain, Hum wo dost hain jo roz roz nahin miltay
Nashili aankhon sey woh jab hamein dekhte hain, hum ghabraa kar ankhen jhuka laitay hain, kaun milaye unn ankhon se ankhen, suna hai wo ankho se apna bana laitay hain...!
Dono aankho mein ashq liya karte hain, Hum apni neend mein tera naam liya karte hain. Jab bhi aayain Hichkiyaan tumhain, Samajh lena hum tumhain yaad kiya karte hain....
Zamane se nahin hum tanhai se darte hain, Pyar se nahin hum rusvayee se darte hain, Dil mein umang hai tujhse milne ki, Par milne ke baad aane wali judaai se darte hain.
Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain, Pehle dil phir zindagi say jur jatay hain, Kehtay hain us daur ko pyaar, Jisme log zindagi say bhi pyare ho jatay hain
Hum jaise dost hotay nahin sab k liye, Yeh tohfa hai kisi kisi k liye. Kion jala rakha hai shamma bujha dijiye Kia hum kum hain rooshni k liye
kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate, kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahi jaate, kayi dil aise hote hain jo tode nahi jaate, aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chore nahi jaate.
Meri chahatain tumse alag kab hain, Dil ki batain tumse chupi kab hain, Tum sath raho dil main dharkan ki jaga, Phir zindagi ko sanson ki zarorat kab hai,
Dost akser yunhi ban jatay hain Kuch sath rehtay hain kuch bicher jatay hain. Kuch yaad rakhtay hain Kuch bhul jate hain. Ab hum aapko dekhte hain Aap kahan tak saath nibhatay hain
Ek Lamhe Me Unhone Zindagi Sawar Di, Doosre Lamhe Me Unhone Zindagi Ujad Di, Kusoor Unka Nahi Hamara Hai Un Do Lamho Mein Hamne Zindagi Guzar Di. Saza Dene Wale Raza Puchte Hain, Jeene Ki Humse Wajah Puchte Hain, Dete Hain Khud He Zahar Humko Aakar, Phir Kitna Hua Hai Asar Puchte Hain,
Tare asman me chamkte hain Badal itni dur hai fir bhi barste hain Hum bhi kitne nadan hain Aap dil me rehte hain or hum apse milne ko tarste hai
Rat gehri hai dar bhi saktey hain Hum jo kehtey hain kar bhi saktey hain Aap jo roothey to itna bhi na soocha Hum to pagal hain mar bhi saktey hain
Duniya mein sab begane hain, Jise hum chahte hai woh auron ke Deewanay hain, Guzre kal ki yahi kahani hain, Kuch khud baraad hue kuch unki meharbaani hain.
Zindagi mein hamesha SMART log milenge, kahi zyada to kahi kum milenge, choice zara soch k karna, zaroori nahi har jagah tumhe hum jaise milenge