You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Dil Ki Dharkanoo Ko
Dil Ki Dharkanoo Ko
Dil Ki Dharkanoo Ko ik lamha saber nahi,
Shayd k us ko ab meri kader nahi,
Her safer mein mera kabhi hamsafer tha woh,
Ab safer to hai mager wo hamsafer nahi..!
Related SMS
- Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
- Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
- mere hamsafar
- Wafa ruswa nahi kerna, Suno! aisa nahi kerna
- Meri saadgi mera jurm hay
- Hum nazuk nazuk dil waley
- ArZo0 HaY TumHAin Do0R Se DekHNay KI,
- ik bar mujh say door ja k daikh kabhi
- Wo yar hamara kaisa hai ?
- Main na mil sakon jo tum se
- To kia howa ?
- TEHREER MEIN THA
- Koi mujh ko.....
- Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee
- Jo rahte hai dil mein, vo juda nahi hote
- Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu
- Kis ki thi ?
- Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
- Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay
- Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi ...
- Lamha lamha intezar kiya us lamhe k liye
- Sadion say jaagi aankhon ko ...
- Mohabbat bhi mausam ki tarah
- Ussay keh do
- Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath
- Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho
- Bhari mehfil
- Merey Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
- Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
- Warna wo meri udasi ka sabab janta hai
- Haath us ney Mera Thama Ho ga
- Meri Zinadagi
- KOI NAAM NAHI AY GA
Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay Jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay Baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai Bamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay Nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam Barastay badlon ki aas mein […]
Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai Dar hai pyaron sey judai ka, […]
Mere Humsafer, mere Hum-nasheen Main ne Rab se manga to kuch nahi Per jub bhi mangi koi dua! Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa" Ye talab kya k mera Khuda! Naye ehad ki Sabhi rahtain, Sabhi chahtain, Wo ata kre tujhe manzlain, Ye talab kya k mera Khuda! Tujhe Bakht de, Tujhe Taj de Tujhe […]
Wafa ruswa nahi kerna, Suno! aisa nahi kerna Main pehlay hi akaila hon Mujhey tanha nahi kerna Meri in ankhon ko Kabhi sehra nahi kerna Judai bhi jo aa jayai To dil choota nahi kerna Bharoosa bhi zarori hay Magar sab ka nahi kerna Muqaddar phir muqadder hay Kabhi da'awa nahi kerna Jo likha hay […]
Yahan chahton ka sila nahi, yahan dosti ka maza nahi, yahan janay kesi hawa chali, Rahi dostoon main wafa nahi, yahan jal gaya mera aashiana, Abhi badlon ko pata nahi, Teray dar pe dastak de sakon, ye haq to tum ne dia nahi, Main raahi hon raah-e-umeed ka, Mujhay manzilon ka pata nahi, Be bas […]
Hum nazuk nazuk dil waley Kabhi hastey hain kabhi rotey hain Kabhi dil mein khwab parotey hain, Kabhi mehfil mehfil phirtey hain, Kabhi zaat mein gum ho jatey hain, Kabhi chup ki mohar sajatey hain, Kabhi geet labon par atey hain, Kabhi sab ka dil behlatey hain, Kabhi khud tanha ho jate hain, Kabhi shab […]
ArZo0 HaY TumHAin Do0R Se DekHNay KI, MAgEr PasS NaHi AaNa ChAhTa, TaMaNnA NaHi tuMHain PANAy ki, MAgeR KhoNA BhI NAHi CHAhTa...
behar-e-ishq main doob k daikh kabhi jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhi her taraf tera hi aks nazar ayai ga meri aankhon mein pyar say daikh kabhi ghuror hay tujhey apni zulfon ki cha'aon ka meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhi kaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein meray dil k aangun […]
Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata, Wo yar hamara kaisa hai? Jo bhool gaya hum ko kab se, Wo jaan se pyara kaisa hai ? Kia us ko jeewan lamho mein, Koi lamha mera baqi hai ? Kia uski jaagti aankhon main, Meri yaad se phaili udasi hai ? Kia wo bhi meri tarah yun hi, […]
Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna Tumhain meri hi qasam hay, meri arzoo na karna Mujhy jis se thi muhabbat, use thi ajab si adat Kabhi mounh phair lena, kabhi guftugo na karna Maine chaha tha kisi ko, mera haal kya hay dekho Jo kiya qusoor maine, wo tum kabhi […]
Toota hai meray pyar ka bandhan to kia howa Barsa hay meri aankh se saawan to kia howa Yun bhi to saari duniya se kat kar jiya hon main, Tu bhi howa hai ab mera dushman to kia howa, Seenay mein dard aankh mein aansu sajay to hain, khali hay teray pyaar se daman t […]
Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha, Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha, Yaad karta hu kahan bhool k aya hu usay, Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha, Baat kia thi ye mujhe achi tarah yaad nahi, Haan aap ka zikr b tha aur bari tafseel […]
koi mujh ko mera bharpur sarapa la de meray bazu,meri ankhe,mera chehra la de naya mausam meri binai ko taslim nahe meri ankho ko wohe khawab purana la de koi khahish nahe tuj se ay meri umar e rawan mera bachpan,mery jugnu,meri gurya la de
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee, mager us din bohot daer ho jai gee , tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee, tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee, tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee. mujhe daikhe bina ik pal bhe […]
Jo rahte hai dil mein, vo juda nahi hote, kuch ahsas lafzo mein bayan nahi hote, ek hasrat hai unhe manane ki, vo itney achay hain ki kabhi khafa nahi hote.
Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar Har pal har jagah nazar aane laga hai tu Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu Har pal mujhe hota […]
Zakhm_e_Tanhai Mein Khushbo_e_HinA Kis Ki Thi Saaya Deevar Per Mera Tha, Sada Kis Ki Thi Os ki Raftaar Say Lipti Raheen Ankhein Meri Os Ne Murr Kar Bhi Na Dekha k Wafa Kis Ki Thi Ansuon Say He Bhar Gaya Daaman Mera Haath To Main Ne Uthaaya Tha, Dua Kis Ki Thi Meri Aahon Ki […]
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to Muskra key manayee, woh aisa ho Jo baat karey to woh nibha bhi […]
Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay bhalay kitni bhi mushkil ho magar aisa nahi kartay mohabbat mein shikayat ka kahin dastoor hota hay gila kar kay mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay wafa'ain dar haqiqat mein bari anmol hoti hain kabhi apni wafa'aon ka sila maanga nahi kartay
"Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi ... Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi... Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k... Meri kisi saada par woh thehra he nahi... khuda se jholi pehla kay manga tha usay ... Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi... […]
Lamha lamha intzar kiya us lamhe k liye or woh lamha aya bhi to bus ek lamhay k liye, guzarish yehi hai khuda se k kash woh lamha phir aye 1 lamhe k liye.
Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahay Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahay Meri manoo […]
Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho, Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho, Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain, Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho, Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho, Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho, Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte […]
Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay..... Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay... Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko..... Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay..... Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou... Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay...... Mat Sunao Logoon Ko Meri […]
Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath,,, ab diya koi na rakhe meri dewaar k sath,,, mein jo ik umer masafat mein raha, tab jana,,, rah b chalti rahi hai, meri raftaar k sath,,, ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein "FRAAZ" yun hi chal parte hein,har ik kharidaar k sath.
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.! Tera wada bhi na siyasi ho, Ab fazaon mein na udasi ho! Chuu k qadmon ko her khushi guzray, Kash ab yun hi zindagi guzray! Tum meray sath meray din meri raaton main raho, Meri aankhon main raho […]
Bhari mehfil mein tanha rehna acha lagta hai Tere barey mein sochte rehna acha lagta hai Kabhi pholon mein, kabhi kaliyon mein Tujh ko hi dhoondhte rehna acha lagta hai Meri zindgi ki khushiyan tumhi se hain wabasta Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai Tumharey baghair zindgi ka koi tasavur nahi hai […]
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss […]
Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss […]
Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai, Koi jaane ke na jane mera rab janta hai ! Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye, Kuchh milega e mera daste talab janta hai ! Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita, Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai ! Mai […]
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga Khuvabon aur Khyaalon Mein Mera hi Chehra Tarasha Ho ga Raah Chaltey jo us ko Mera khyaal Aaya Ho ga Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh […]
Mujhy bekhudi ki hai arzoo Mujhe qurbaton ka kumar dey Mery ang ang mei youn uter K mujhi mein khud ko utar de Tu jo rug rug mein bus gea Tu hai dorion ka jawaz kiya Meri zindgi mery pass aa Meri bekhudi ko qarar de Hai nazar nazar teri joostaju Tu meri wafa ki […]
Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga, Ab wo mehtab sar-e-bam nahi ay ga, Ab dhalay ga na kabi hijr ka jalta suraj, Ab kabi wasl ka hangama nahi ay ga, Ja k us kochay mein hum u hi palat ay gay, Waqt-e-rukhsat koi 2 gham nahi ay ga, Uski galyon mein hamay koi nahi […]