Hindi / Text Messages

EID MUBARAK ho Aapko,
Dher sari tarif aur khusiya mile aapko,
But, Jab EIDI mile aapko to Please
Aap Yaad karna Sirf Humko!!!

Kash hum ek SMS hoty

Kash hum ek SMS hotay
bas aik click mey aap ky paas hoty

mana k aap hamy delete kar daitey
laikin kuch dair k liye tou hum aap ky paas hoty
or
bari khushi say kehtay EID MUBARAK

Eid K din aj aao mil k karain yeh hi wada

Aaj Khuda ki hum par ho Meharbani,
Karde maf hum logo ki sari Nafarmani,
Eid K din aj aao mil k karain yeh hi wada,
Khuda ki hi rahon main hum chalain gay sada.

Sare Musalmanon ko EID MUBARAK.

You are finding Urdu Eid SMS in Hindi SMS section because roman hindi is almost exactly same as roman urdu script:). In this Eid Mubarak SMS Collection we includes urdu eid sms , roman urdu eid sms , funny urdu eid messages , urdu eid messages , funny urdu eid sms , urdu eid mubarak sms , free urdu eid sms , Latest Eid SMS in Urdu , and Eid Mubarak SMS in Urdu. Hope you will enjoy our eid sms collection in Urdu / Hindi.

Aaj se Amiri Garibi k fasle na rahen

Aaj se Amiri Garibi k fasle na rahen,
Har Insan ek duje ko aapna bhai kahe,
Aj sob kuch bhool ka aa gale lag ja,
Mubarak ho tuje yeh EID-UL-AZHA.

muj ko chor kr janay walay

muj ko chor kr janay walay
mera dil dokhanay walay
bin bataye tm kahan chalay gaye ho
ab to mere khawabon mein bi bus tum he atay ho
agar tm is eid pr na aye
to mera kia banay ga?
main kis tarah ye eid guzaron ga?
?
?
AYE MERE GHAR SE BAGHAY HOWE QURBANI K pyare
BAKRAY plz WAPIS AA JAO NAA

Mubarak ho EID Ramadan k baad

Suhani dhoop barsat k baad,
Thori si hasi her baat k baad,

Usi tarah ho mubarak aap ko,
Yeh EID Ramadan k baad.

EID Mubarak

Eid ka chand nikalney ka intezar

Jo log EID ka chand nikalney ka intezar ker rahay hain,

Un k liye Itla'an Arz hai k wo aram karain
kion k mera aaj ghar se bahir nikalnay
ka koi irada nahin hai :-)

Rahoon Ki ye shaam aur yadoon ka ye sama

Rahoon Ki ye shaam aur yadoon ka ye sama
Apni palkoon mein hargiz sitare na layain gay

Rakhna Sambhal k tum chund khushiyan mere liye
Main laut k aaonga phir EID Manain gay...