You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Khamosh Fiza Thi...
Khamosh Fiza Thi...
Khamosh fiza thi kahin SAYA bhi nahi tha...
Es shehar mein HUMSA koi aaya bhi nahi tha...
Kis jurm mein CHEENI gai HUM se hansi...
Hum ne to kisi ka DIL dukhaya bhi nahi tha...
(KIRAN ASGHAR)
Related SMS
- Aatish-e-khamosh me jalta raha mein der tak
- Khamosh se rehne lage ho
- Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte
- Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte
- Zindagi kehta hai mujhey...
- Kisi ke pyar ko bhulna na aaya hume.
- Har taraf khamoshi ka saya hai
- Kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye
- Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay
- Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare
- uske labhon pe mera naam to aaya.
- Zindgi kisi ki mohtaj nahi hoti
- TEHREER MEIN THA
- Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi ...
- wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi
- Ai muhabbat tere anjam pey rona aaya
- KOI NAAM NAHI AY GA
- Osama Bin Laden's favourite song
- Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta
- Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi
- Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
- Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya
- Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo
- Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
- Apna Ehsas mar na jaye kahin
- Aur mujh hi say daman chura to na lo gay
- Bewaja kisi ko sataya nahi karte
- Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
- Dosti, pyar, zindage ya apna saaya
- Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib
- Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
- Kisi k PYAR ko bhulana na aya hamain
- Aap jaisa dost jab se mila he
Alwida keh kar usey takta raha mein der tak, Aatish-e-khamosh me jalta raha mein der tak, Shehr ki veeraan galyoon me akela raat bhar, Ik musaafir ki tarha phirta raha mein der tak, Aasmaan par ek adhoora chand or bikhrey taarey, Intezaar-e-subhu me ginta raha mein der tak, Sochta hon kis liye bujhta chala jata […]
Khamosh se rehne lage ho, intezar kisika karne lage ho, yakinan kisise hui hai mohabbat, tabhi bina baat muskurane lage ho...
Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte, Mere dost! Yun kisi ko satya nahi karte, Ek baar yun kisi ko keh ker apna, Daman phir uss se churaya nahi karte, Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil, Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte, Rakhte hon jo dard bhara dil apne […]
Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil, Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte, Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein, Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte,
Zindagi kehta hai mujhey Mera chahne wala . . . Kya usay Mera aitbaar nahi hai . . . (KIRAN ASGHAR)
kisi ke pyar ko bhulna na aaya hume. kisi ke dil ko dukhana na aaya hume. kisi ke liye tadpna to seekh liya par apne liye kisi ko tadpana na aaya hume.
Har taraf khamoshi ka saya hai, Zindagi me pyaar kisne paya hai, Hum yaadon mein jhoomte hai uski aur zamana kehta hai "Dekho aaj phir peekar aaya hai."
Kisi k sapnay kisi kay armaan ban jayen, Kisi ki hansi kisi ki muskaan ban jaye, Bay panah pyaar kehtay hain usey, Jab kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye,
Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay bhalay kitni bhi mushkil ho magar aisa nahi kartay mohabbat mein shikayat ka kahin dastoor hota hay gila kar kay mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay wafa'ain dar haqiqat mein bari anmol hoti hain kabhi apni wafa'aon ka sila maanga nahi kartay
Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare, Kare to qayamat tak judaa na kare. Ye maana ki koi marta nahi judaai mein, Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein!
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya Khali hi sahi hathon mein jam to aaya Mein hoon bewafa sabko betaya usne Yun hi sahi, uske labhon pe mera naam to aaya.
zindgi kisi ki mohtaj nahi hoti dosti sirf jazbaat nahi hoti kuch to khayal aaya hoga khuda ko, varna yu hi aapki humse mulakat nahi hoti.
Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha, Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha, Yaad karta hu kahan bhool k aya hu usay, Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha, Baat kia thi ye mujhe achi tarah yaad nahi, Haan aap ka zikr b tha aur bari tafseel […]
"Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi ... Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi... Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k... Meri kisi saada par woh thehra he nahi... khuda se jholi pehla kay manga tha usay ... Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi... […]
Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi Wo Nigah-e-Shoq se Door hai, Rag-e-Jaan se laakh Qareeb Sahi Hamain Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahin Sahi Hamain Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamain Intizaar Qabool hai Wo […]
Ai muhabbat tere anjam pey rona aaya, Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya, Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham, Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya...
Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga, Ab wo mehtab sar-e-bam nahi ay ga, Ab dhalay ga na kabi hijr ka jalta suraj, Ab kabi wasl ka hangama nahi ay ga, Ja k us kochay mein hum u hi palat ay gay, Waqt-e-rukhsat koi 2 gham nahi ay ga, Uski galyon mein hamay koi nahi […]
Osama Bin Laden's favourite song: "O Main Nikla Plane Leke Raste Mein New York Mein Ek Mod Aaya Main WTC Tod Aaya."
Duniya mein koi kisi ke liye kuch nahi karta Marne wale ke saath har koi nahi marta Arey‚¦ Marne ki baat to door rahi Yahan to zindgi hai phir bhi koi yaad nahi karta
Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi, Zindagi mein ab teri Ibadat ke siva kuch nahi, Mein Tohfe mein tujhe kya pesh karu, Mere daman mein kaanton ke siva kuch nahi.
Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi Aap Jese Dost Jabse Mile Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Zarurat Nahi
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya Mehfilon main kahin bhi maza na raha Rakha dil pay pather to khud ko sajaya Baat bay baat apni aahain daba ker Yaron kay dermiyan kis […]
Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo, Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo, Sitam karna hai karo par itna na karo! Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo....
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz Thi unki zid k mai jaun unko manane Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz kabi b maine to socha b nahi tha Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz Har roz aieene sey […]
Apna Ehsas mar na jaye kahin Dard had se Guzar na jaye kahin Un ko dekhey hoye hoi Sadyan Un ka Chehra bikhar na jaye kahin Ab k Awaz doon to aa jana Dil Deewana Sudhar na jaye kahin Un ka Wada to hai magar Dil ko Darr hai k kafir mukar na jaye kahin […]
Agar mein bata don mein kia chahti hon nazron say apni gira tou na doo gay Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho Mujhey koi kari si saza tou na do gay Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay Jo mein bata […]
Bewaja kisi ko sataya nahi karte, had se ziyada kisi ko tarpaya nahi karte, jinki sansain chalti ho apke sMs se, unhe apne sMs k liye rulaya nahi karte. . .
Sulagti raat ghani chandni si hoti hai Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai Gale mein uske khuda ki ajeeb barkat hai Wo bolta hai to ik roshni si hoti hai Kiran nikalne se pehle gulab dekhe hai Tumhari yaad mein wo tazgi si hoti hai
Qarib se tumhe dekha to apna paya, Jab tumhe dosti mein azmaya to apna paya, Tumhe kya name dun samjh mein nahi aaya, Dosti, pyar, zindage ya apna saaya...
Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib, Duniya mein sab hamraz badal jatay hain, Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata, Haan magar jeenay k andaz badal jatay hain!
Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay Jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay Baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai Bamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay Nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam Barastay badlon ki aas mein […]
Kisi k PYAR ko bhulana na aya hamain Kisi k DIL ko dukhana na aya hamain Kisi ki YAAD mein tarapna to sekh Liya ! Magar apni YAAD men kisi ko tadpana na aya hamen.
Ab aur manzil pane ki hasrat nahi rahe, Kisi ki yaad me mar jane ki fitrat nahi rahe, Aap jaisa dost jab se mila he, Kisi aur ko dost banane ki zarorut nahi rahe,