You are here: SMS4Smile » Ghazal SMS » Uljhay howay din raat
Uljhay howay din raat
Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey
Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey
Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey
Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey
Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dilkhla Na Sakey
Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey ....!
Related SMS
- Raat ko raat ka tohfa nahin dete
- beetay howay khud pay sitam likh raha hoon
- Totay howay paimanay main jaam nahin aata
- Raat kya dhali sitare chala gayay,
- Raat Se Dar Lagta Hai...
- Khuwab ab raat bhar nahin aatay
- RAAT hui jab shaam k baad
- Kaisay guzarti hay raat meri
- Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye
- Thoray say andhairay say raat nahin hoti
- Neend mujhey raat bhar aati hai kam
- Kal raat machar ne kata mere chehre par
- Raat guzri phir mehekti subah ayi
- Raat si tanha khamoshi hai mere dil mein..
- Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
- Din nikalta nahi or raat nahin hoti
- Qudrat ke karishmo mein agar Raat na hoti
- Chandni raat main jab sara jahan sota hai
- Neend aati nahin aur raat guzar jati hai
- Ankhain teri raat ko jaagna chor dain
- Bikhri ankhon sey moti hum piro na sakey
- Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay
- Jisne humko chaha, use hum chah na sakey
- Lekin rehnay do
- Merey sabar ka na ley Imtehaan
- Ghazab ki thi...
- Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
- Baaton baaton main bicharney ka ishara karkey
- Aadat nahi hay
- Ek rishta jo abhi ban raha tha
- Log apne bhi hote hai praye bhi.
- Main duniya bhool jata hon
- Mujhe tanha honay nahi detay
Raat ko raat ka tohfa nahin dete, dil ko jazbat ka tohfa nahin dete, hum to tumhe chand bhi de dete, lekin chand ko chand ka tohfa nahin dete.
Dil ki dastaan dard-e-qalam say likh raha hoon beetay howay khud pay sitam likh raha hoon, Dil ka qatal ho gia meray aur janazay ka lutf utha raha koi matam ki jaga khushi ki ghazal ga raha koi.
Totay howay paimanay main jaam nahin aata, Ishq k mareez ko araam nahin aata, Aey dil tornay walay tuney yeh to socha hota, Toota howa dil kisi k kaam nahin aata.
Raat kya dhali sitare chala gayay, Gairo sa kya gila jab aapna chalay gayay, Jeet to saktay thay ishq bi bazi ham bhi, Magar tumhe jitanay ka liya hartay chalay gayay
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai... Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai... Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye... Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai... Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo... Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta […]
Dost dushman nazar nahin atay Ab to pather bhi ghar nahin atay Sub ko roona mera mazaq lagay Ashq aankhon main bhar nahin aatay Baap say pocho kia guzarti hai Baitiyon k jo bur nahin aatay Mujh say pocha yeh raat wehshat nay aaj kal aap ghar nahin aatay, Dosti ho gaye sitaron say, Khuwab […]
RAAT hui jab shaam k baad Teri yaad aayi har baat k baad Hum ne khamosh rah kar bhi dekha Phir bhi teri aawaz aayi har saans k baad
Kaun kehta hay k teri yaad say ghafil hay Saquib Bister ki har shikan se poch kaisay guzarti hay raat meri..!
Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye hum hawao ki tarah jakar use chuh aye usne chuh kar mujhe pathar se insan kiya mudhaton baad meri ankho me ansu aye
Chahne say har baat puri nahi hoti, Thoray say andhairay say raat nahi hoti, Jo pasand hai sab say zyada, Unse kambakht mulakat nahi hoti.
Neend mujhey raat bhar aati hai kam , Shayad macharon ko bi mil gaya hai sanam
kal raat machar ne kata mere chehre par, dil mien junoon tha...aankhoon mien khoon tha, uthaya ussay masal dene k liye par khayal aya, kambakht mien bhi akhir apna hi khoon tha
Raat guzri phir mehekti subah ayi, dil dharka phir tumhari yaad ayi, aankhon ne mehsoos kiya uss hawa ko, jo tumhe chhu kar hamare pass ayi.
Raat si tanha khamoshi hai mere dil mein.. Shayad kuch jazbaat ki kami hai iss dil mein.. Pehle to hum harr baat par haste ya rote the.. Par ab shayad koi ehsaas hi nahi hai mere dil mein!!
Sulagti raat ghani chandni si hoti hai Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai Gale mein uske khuda ki ajeeb barkat hai Wo bolta hai to ik roshni si hoti hai Kiran nikalne se pehle gulab dekhe hai Tumhari yaad mein wo tazgi si hoti hai
Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti, Din nikalta nahi or raat nahin hoti, Na khafa howa karay wo usay kehna, Bina us k Mukammal meri zaat nahin hoti
Qudrat ke karishmo mein agar Raat na hoti, Khuwabon mein bhi unse Mulaqat na hoti, Yeh Dil hi to har ek Ghum ki wajah hai, Yeh Dil hi na hota to koi baat hi na hoti.
Chandni raat main jab sara jahan sota hai kisi ki yaad main koi badnaseeb rota hai
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai, Pyaas bujhti nahin ki barsaat guzar jati hai. Apni yadon sey keho ki yun na sataya karain, Neend aati nahin aur raat guzar jati hai
khoobsurat aankhain teri raat ko jaagna choor day, khud ba khud neend aa jayegi tu mujhey soochna choor day. Good Night
Bikhri ankhon sey moti hum piro na sakey teri yaad me sari raat so na sakey beh na jayain ansuon me tasvir teri, ye soch kar hum ro na sakey
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay, Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay, Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay, Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay, Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam, Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin […]
Jisne humko chaha, use hum chah na sakey, Jisko chaha, usay hum paa na sakey, Yeh samajh lo dil tutney ka khel hai, Kisi ka toda aur apna bacha na sake.
Saarey waadon ko bhula sakta hun, lekin rehne do..! Main tumhein chor k ja sakta hun, lekin rehne do..! Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz, faisla mein bhi suna sakti hun, lekin rehne do..! Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali, us per main muskura b sakta hun, lekin […]
Merey sabar ka na ley Imtehaan Meri khaamoshi ko sada na dey Jo terey baghair na jee sakey Usey jeeney ki to duaa na dey Tu azeez Dil-o-nazar sey hai Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla Kaheen waqat aur barha na dey Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon Tujhe chah […]
Us k labon pe raat kahani ghazab ki thi, Jazbat beh rahe they rawani ghazab ki thi, Raja bhi la jwab tha wadi-e-ishq ka, Lekin dayar-e-husn ki rani ghazab ki thi, Kya kya na shaam i meri umar main magar, Guzri jo tere sath sohani ghazab ki thi, Dekhi hay main ne shaher main charti […]
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to Muskra key manayee, woh aisa ho Jo baat karey to woh nibha bhi […]
Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne Apney askhon ko palkon pe sitara karkey Dekh letey hain chalo hosla apne dil ka Aur kuch roz […]
Sir jhukaany ki aadat nahi hay, Aansoo bahaany ki aadat nhi h, Hm kho gaye to pachtao gay bohat, Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay, Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty, Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay, Teri yaaden aziz hen bohat, Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay, Tum […]
Ek rishta jo abhi ban raha tha , Tutne laga magar banne se pahle. Ek sahare se uthate the ham, Gir gaye magar sambhalne se pahle. Sikhane lage the aap se muskurana, Rula diya magar hasne se pahle. Kadam jo badhen aap ki disha me, Ruk gaye wahi chalne se pahle. Magne ke liye kuchh […]
Log apne bhi hote hai praye bhi. dilon mein hoti hai sagar jaisi gehrai bhi, is umeed se kartay hain sms unhein, ki wo padhein aur hamein, yaad karke muskrayein bhi...
Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon, Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon, Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon, Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon, Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon, Magar kuch tum […]
Kitnay gharoor mai hai Wo mujhe tanha chor k "saqi" unhein maloom nahi meray Aansu mujhe tanha honay nahi detay