Poetry SMS / Text Messages

Kisi ki chahat pe zinda rehne wale hum na the,
kisi pey mar mitne wale hum na thay,

aadat si par gayi tumhe yaad karne ki,
warna kisi ko yaad karne wale hum na thay.

Hans kar gum bholana zindagi hai

Hasna zindagi hai,
has kar gum bholana zindagi hai,

jeet kar hanse to kya hanse,
haar kar khushiyan manaana zindagi hai

khilta hua phool khusbo de aapko

Ugta hua suraj dua de aapko,
khilta hua phool khusbo de aapko

hum to kuch dene ke kabil nahi hain,
dene wala hazar khushiyan de aapko..!!

Har ghari mujhey aap ki parwah rehti hai

Dil k labon pay aik dua rehti hai,
Har ghari mujhey aap ki parwah rehti hai,

Khuda har sukh zindagi ka kare atta aap ko,
Har dua main meri yeh iltija rehti hai,

Dil ko dil se churaya aap nay

Hamar dil ko dil se churaya aap nay,
Door hotay howay bhi apna banaya aap nay,

Kabhi bhi na bhool pain gay aap ko,
Kiyon k yaad rakhna bhi sikhaya aap nay!

Dil me har raaz daba k rakhte hain

Dil me har raaz daba k rakhte hain,
Honto pay muskan saja k rakhtey hain,

Ye duniya sirf khushi main saath deti hay,
Is liye hum apne aanso chupa k rakhte hain...

Tu qasam say umer bhar muskurao gay

Yun ainon say kab tak dil behlao gay,
Jab andhera hoga khud ko tanha paogay,

Hum jesa koi dost rahey agar tumhare sath,
Tu qasam say umer bhar muskurao gay..

Daman bhi chota lagnay lagay

Muskurahaton say bhari ho zindagi,
Chahaton say bhara ho har pal,

Daman bhi chota lagnay lagay,
itni khushian day aapko her aanay wala kal..

Dosti ka asar zara dair say hota hay

Kabhi kabhi aisa bhi hota hay,
Dosti ka asar zara dair say hota hay,

Aap ko lagta hai hum kuch nahin sochte ap k bare main.
Per hamari her baat main aap ka hi ziker hota hai..

Kia usay bhi hamara khayal aata hai

Fursat main jub kabhi wo yaad aata hai,
Dil main sirf aik hi sawal aata hai,

Yaad kartay hain jisay hum..!!!
kia usay bhi hamara khayal aata hai

Jeena to paray ga hi kaisay bhi pyaray

Zindagi ki kashti kab lagay, koon say kinaray,
Kab isay milay gi, man chahi baharain,

Jeena to paray ga hi kaisay bhi pyaray,
Kabhi doston ki bheer main, to kabhi tanhai k saharay

Eid k din masjid ke paas se

Na guzarna Eid k din masjid ke paas se,
kahin log chand samajhkar apna roza na tod den...

aur ho ke khafa khuda aap se..
kahin khubsurat log banana na chor dey