Poetry SMS / Text Messages

Be-zabano ko jub wo zaban deta hay,
Parhne ko phir wo QURAN deta hay,

Bakshne pay aata hay jub ummat k gunahon ko,
Tohfay mein gunahgaron ko RAMAZAN deta hai

Chupkay say chand ki Roshni Choo Jaye Apko

Chupkay say chand ki Roshni Choo Jaye Apko
Dheeray Say Ya Hawa Kuch Keh Jaye Apko

Dil Say jo Chahtay Hoo Maang Lo Khuda Say
Hum Dua Kartay Hain Mil Jaye Woo Apko
EID MUBARAK

Mubarak naam hai tera

Mubarak naam hai tera,
mubarak Eid ho tujhko,
jise tu dekhna chahe
usi ki deed ho tujko
EID MUBARAK.

Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna

Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna,
Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna

Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna,
Magar gham batna ho toh hume yaad karna.

Bina yaad kiye Raha Nahi jata?

Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,

Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?

jaise sukhe gulab milte hain kitabo me

barso baad na jaane kaun kaha hoga,
hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,

phir milna hua to milenge khwabo me,
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me

Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain

Zakham itnay gehray hain izhaar kia karain,
Hum khud nishana ban gaye hain waar kia karain,

Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain,
Ab is say ziyadah unka intezaar kia karain...

Aap to khud aik gulab hain

Kaun sa phool paish karon,
Koi phool gulab nahin,

Aap to khud aik gulab hain,
Jiska koi jawab naheen...

Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata...

Na janay Q hamain ansu bahana nahin aata,
Na janay kion haal-e-dil batana nahin aata,

Kion sathi bichar jatay hain hamaisha hum se,
Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata...