Yeh kaun muskura kar idhar say guzar gaya,
Bay noor rastoon main ujala bikhar gaya,
Socha bohut kisi say pyar na ho magar,
Ankhon ki rah say koi dil main utar gaya..
Urdu poetry SMS / shayari sms messages (Urdu funny & love poetry)
Yeh kaun muskura kar idhar say guzar gaya,
Bay noor rastoon main ujala bikhar gaya,
Socha bohut kisi say pyar na ho magar,
Ankhon ki rah say koi dil main utar gaya..
Poch lo khuda se tere liye hi ham ne dua mangi,
Pooch lo hawa sey tere liye hi ham nay fiza mangi,
Jab bhi hoi tujh say koi ghalti,
Ham ne dua main apne liye saza mangi
Bohat chaha magar unhain bhula na sakay,
Khalaon main kisi aur ko laa na sakay,
Usko daikh k ansu to poch liye,
Par kisi or ko daikh k muskura na sakay
Kisi k sapnay kisi kay armaan ban jayen,
Kisi ki hansi kisi ki muskaan ban jaye,
Bay panah pyaar kehtay hain usey,
Jab kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye,
Zamin k paap chupanay ko gagan hota hai,
Mann ka paap chupanay ko badan hota hai,
Shayud mar ker bhi paap chupatay hain log,
Esi liye har laash per kafan hota hai....
Yaad aate hai to zara kho lete hai
Aansu ankho me uter aye to zara ro lete hai
Nind aakho me aate nahi laken
Aap khuwabon me ayaingay yahi soch kar so lete hai
Saaye ki tarah saath rahne wale
hamse rishtaa tod gaye,
hakikat me milna mumkin nahi tha
magar khwabon me bhi aana chhod gaye
Mitti ki anokhi murat ho tum,
Zindagi ki ek zarurat ho tum,
Phool to khubsurat hote hai,
Phoolon se bhi khubsurat ho tum.
Har jaga baithna intizar nahi hota,
Har khamoshi ka matlab inkar nahin hota,
Nazrain to har aik say milti hain,
Har nazar ka milna inpyaar nahin hota...
Na mila dil ka qadardaan is zamanay main,
Yeh sheesha toot gaya hai daikhnay aur dekhanay main,
Gii main aata hai ek roz shamma say pochoon,
Maza kis main hai, jalnay main ya jalanay main...?
Kabhi kabhi in ankhon me nami si hoti hai.
Kabhi kabhi in hoton pe hasi si hoti hai.
E dost wo tum hi ho,
jis se meri zindagi zinda dil hoti hai.
Palkon main qaid kuch sapne hain,
Kuch bayganay kuch apne hain,
Na janay kia kashish hai in khayalon main,
Woh ghair ho k bhi kitnay apne hain...