Poetry SMS / Text Messages

Kuch rishte anjaane mein ho jate hai
pehle dil phir zindagi se jud jate hai

kehte hain uss daur ko dosti
jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai

Agar isi tarah bhool hi jaana tha

Kaash woh naghmay hamain sunaye na hote,
Aaj unko sun kar yun aansu aaye na hote.

Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.

Phir laut kar college ke zamane nahi aate

Hoton pe dosti ke fasaane nahi aate,
Saahil pe samandar ke khazaane nahi aate.

Udne do parindo ko abhi shokh hawa main,
Phir laut kar college ke zamane nahi aate.

Aap samandar ki baat karate hai

Kaun yaad rakhata hai naamko,
Log to cheharon ko bhi bhul jaate hai,

Aap samandar ki baat karate hai,
Log to aankhon me bhi duub jaate hai !!!

Kaash tum zindagi main ayai hi na hotay

In ankhon main aansu ayai na hotay,
Agar tum pichay mur ker muskuraye na hotay,

Tumharay jaanay k baad yeh ghum hota hay,
Kaash tum zindagi main ayai hi na hotay....

ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki

jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,

ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.

Pura din guzarane ko hai dost

Badal garaja magar barsaat nahi aayi,
Dil dharka magar aawaz nahi aayi,

Pura din guzarane ko hai dost,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?

Aap k chehre ko gulab likhoonga

Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,

Aapki gardan(neck) ko phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.

Na neend ayai na khuwab koi

Bohat khushnuma kal ki raat guzri hai,
Kuch tanha, per kuch khaas guzri hai,

Na neend ayai na khuwab koi,
Bus aap hi k khayalon k saath guzri hai,

Patharon say tha apna rishtaa

Apnay dushman say hi dil laga baithay,
Unki saadgi say faraib kha baithay,

Patharon say tha apna rishtaa,
Phir bhi sheeshay k ghar bana baithe..

Aapko bhulanay main shayud hamain zamana lagay

Aap k shahar ka har housam suhana lagay,
Ek shaam chura loon aap ki agar bura n lagay,

Aap chahay bhula dain hamain ek pal main hi,
Aapko bhulanay main shayud hamain zamana lagay...

Hum kisi aur k na ho sakain gay

Jaisay aap hamaray na ho sakay thay
Hum kisi aur k na ho sakain gay,

Pyaar nahin kia apna dil diya hay
Ek pal bhi aap ko bhula na sakain gay...