Poetry SMS / Text Messages

Aaj kal tum mushkurati bahut ho,
mere dil ko bhaati bahut ho,
dil kehta hai le jaaun tumhen dinner pe,
par suna hai tum khaati bahut ho!

kitne nadaan thy toufan ko kinara samjha

kitne nadaan thy toufan ko kinara samjha
kitne bejan saharon ko sahara samjha,

kitnay anjaan thy wo log jo sahil pe thy,
hamain doobta dekha or nazara samjha

Dil main koi malal bhi nahin

Dil main koi malal bhi nahin,
Us se koi gila nahin, jo sath day k bhi sath nahin,

Us ki khushion ki mangi hai dua,
Yeh alag bat hay k meri zindagi us ka sawal hai k nahin

Guzre dinon ki bhuli hoi bat ki tarha

Guzre dinon ki bhuli hoi bat ki tarha,
Ankhon me jagta he koi rat ki tarah,

Tumse umed thi k nibhao gy dosti,
Tum bhi badal gaye Karachi k halaat ki tarah.

Jis ki qurbat main karar bohut hay

Jis ki qurbat main karar bohut hay
us ka milna dushwar bohut hay

jo meray hathon ki lakiron main nahin
us shakhs say mujhey pyar bohut hay

har shaakh par bahaar aati hy Zaror!

Koi na milay to qismat se ghila nahi karty!
aksar log mil ker bi mila nahi karty!

har shaakh par bahaar aati hy Zaror!
par har shaakh par phool khila nhi krty

Azeez to sub ko hon magar

Mujhey guman hai k chaha
hai bohut zamanay ne mujhey.
Main azeez to sab ko hon magar
.
.
.
Zaroraton ki tarah..!

Rehti duniya tuk us ko salamat rakhna

Ae rab apnay pas meri dua amanat rakhna,
Rehti duniya tuk us ko salamat rakhna.

Meri ankhon k sary deep bujha dena,
Per us ki ankhon k sary khuwab salamat rakhna

Bhool samajh kar bhool jana.

Bhool se koi bhool hui to
bhool samajh kar bhool jana.

Are bhoolna sirf bhool ko,
bhool se bhi hame na bhulana.

Ya koi patthar dil insan na hota

Kaash k usay chahnay ka Arman na hota,
Main hosh main hote howay anjaan na hota,

Yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain,
Ya koi patthar dil insan na hota

Kanch ka dil chupain kahan

Bojhal dil, bojhal qadam,
Sochtay hain k jain kahan

Jub sub derwazay hon band,
Apni manzil pa'ain kahan

Sang'raizon k dais main,
Kanch ka dil chupain kahan