Zindagi younhi teri chahat k naam kardi,
Jaisay ghanay darakht k neeche sham kardi,
Laut jate hainparinde shaam hote hi,
Hamne to har shaam hi tere naam kardi
Urdu poetry SMS / shayari sms messages (Urdu funny & love poetry)
Zindagi younhi teri chahat k naam kardi,
Jaisay ghanay darakht k neeche sham kardi,
Laut jate hainparinde shaam hote hi,
Hamne to har shaam hi tere naam kardi
Kash koi aisa ahal-e-dil hota jo meri arzu karta,
Khoo jati agar main kahin, to meri justuju karta,
Mein us kay zehan-o-dil main kuch is tarah sama jati,
K lab jab bhi kholta meri guftugu karta,
Kismat do pal mein badal sakta he INSAN,
Per jo INSAN ko badal de wo kismat nahin hoti,
Apni kismat pe rota wohi shakhs hay jisko,
Sajdon me rone ki adat nahin hoti
Dil to karta hai zindagi ko kisi qaatil k hawalay kar doon SAAHIL
Judai mein ye roz roz ka marna mujhay acha nahi lagta
Tanha chor ker hum ko hasla bhi dete ho,
Saans cheen ker jeenay ki dua bhi dete ho,
Ik taraf judai ka tazkira bhi jari hai,
Aur muskuranay ka mashwara bhi detay ho
Jaankar unko, hai is baat ko jaana humne,
kis kadar palat-te hain yeh khud ko dost kehne wale.
Meri chahat ka hisab jo lagao gay,
To meri chahat ko bayhisab pao gay,
Meri chahat hay pani k bulbulay jesi,
Zara sa thukrao gy to dhondtay reh jao ge,
agarche do kinaron ka sangam nhi hota,
magar ek sath chalna b koi kam nhi hata;
wo ankhain ek luta ghar hain jehan aansu nahi rehte,
wo dil ek pathar hai jis dil main kisi ka gham nahi hota,
Bun k ajnabi mily thay zindagi k safr mein kahin,
In yadon k lamhon ko kabhi bhoolaingay nahin,
Agar yaad rakhna fitrat hai aapki,
Bhool jane ki adat hamain bhi nahin
Hum to mojod thy raaton me ujalon ki tarah,
Log nikly hi nahi dhondne walon ki tarah,
Dil to kia hum rooh me uter jate,
Us ne chaha hi nahi chahne walon ki tarah
Be-khuloos logo'n se
Ijtinab karna hay
Mujhy apne rishto'n ka
Ehtisab karna hay
Usay bhool jana hay ya
Usay yaad rakhna hay
Dukh tou ek jesa hay bs
Intikhab krna hay
Udaas na hona kion k main sath hon,
Samnay na sahi per aas paas hoon,
Aankhon ko band karo dil se yaad karo,
Main hamesha aap k liye eik ehsas hon,