Poetry SMS / Text Messages

Na jane konsi baat aakhri hogi,
na jane konsi raat aakhri hogi,
karni hai to karle jee bhar ke baatein,
na jane hamari konsi saanse aakhri hogi.

Khuda se thoda raham khareed lete,

Khuda se thoda raham khareed lete,
Aap ke zakhmo ka marham khareed lete.
Agar kahi bikti khushiya meri,
To saari bech kar aap ka har ghum khareed lete.

Zindagi dene vale marta chod gye,

Zindagi dene vale marta chod gye,
apnapan jitane vale tanha chod gye,
jab padi zarurat hume apne humsafar ki
vo saath chalne vale apna rasta hi mod gaye ...

Koi achha lage to use pyar mat karna

Koi achha lage to use pyar mat karna,
uske liye apni ninden bekaar mat karna,
2 din to aayenge khushi se milne,
teesre din kahenge mera intjar mat karna...

Unka ashiyana dil mein basa rakha hai

Unka ashiyana dil mein basa rakha hai,
Unki yadon ko seene se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aate hain wohi kyun,
Vaise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai.

Bari asaani se dil lagaye jaate hain,

Bari asaani se dil lagaye jaate hain,
par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain,
le jaati hai mohabbat un raaho par,
jaha diye nahi dil jalaye jaate hain

Muskura do zara khuda ke vaste,

Muskura do zara khuda ke vaste,
sama-e-mahefil mai roshni kam hai,
tum hamare nahi to kya ghum hai,
hum tumhare to haiN ye kya kam hai?

Unhone dekha aur aansu gir pade,

Unhone dekha aur aansu gir pade,
bhari basant mein jaise phul bikhar pade,
dukh vo nahi ki unhone hamein alvida kaha,
dukh toh yeh hai ki uske baad woh khud bhi ro pade.

Kisne meri kabar par aake diya jala diya

Kisne meri kabar par aake diya jala diya
Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya
Chain se so raha tha main odhe kafan majar par
Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya