kaisa pagal hai khud apne bare main pochta hai

Wo mujhse meri udasion ki waja pochta he,
kaisa pagal he dhalti rat k sannate ki wajah pochta hai,

Wo mujhse meri barsati aankhon ki waja pochta hai,
kaisa pagal hai barish k barasne ki wajeh pochta hai,

Wo mujhse meri pasand k bare me pochta hai,
kaisa pagal hai khud apne bare main pochta hai