You are here: SMS4Smile » Poetry SMS » Doorie ho to phir AHSAS hota hai
Doorie ho to phir AHSAS hota hai
Doorie ho to phir "AHSAS" hota hai,
"DOST" k bina jeevan "UDAAS" hota hai,
"UMER" ho aap ki sitaron jitni lambi
aisa "DOST" kahan aur kisi k "PAAS" hota hai
Related SMS
- Aisa DOST kahan har kisi ke paas hota hay
- Wo phir se mil gaya to phir...?
- Yeh na thi hamari qismat k wisaal-e-yaar hota
- KOI TO HOTA....
- Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay
- Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?
- Ya koi patthar dil insan na hota
- Dosti ka asar zara dair say hota hay
- Jahan sawal k badlay sawal hota hay...
- Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai
- Har subah naye kafile me sawaar hota hu.
- Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
- Bachpan Ka Zamana Hota Tha
- Nazroon se jab nazar ka takrar hota hain
- Kab kaun kisi ka hota hai
- Raat guzri phir mehekti subah ayi
- Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan
- Koi humara nahi hota
- Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai,
- Har nazar ka milna inpyaar nahin hota...
- Har baat ka jawab inkar nahin hota
- har laash per kafan hota hai....
- Dil Ko Manana aggar Hota Aaasaaan
- Saath chalne main jo maza hota
- Falak pey ek aashiyana hamara hota
- Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai
- Kash banane wale ne mujhe kitab banaya hota.
- Phir bhi aap nay door samajh liya
- Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte
- Phir laut kar college ke zamane nahi aate
- Phir aaj koi ghazal teray naam na ho jayai
- Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai
- Pyar ka dard meetha hota hay
Ashq bahay to ahsaas hota hay, Pyar k bina jeevan kitna udas hota hay, Umar ho teri sitaron jitni lambi, Aisa DOST kahan har kisi ke paas hota hay.
Ye dard mit gaya to phir? Ye zakhm sil gaya to phir...? Bichhar kar sochta hoon main, Wo phir se mil gaya to phir...? Main titliyon k shehar mein, Rahoon to mujh ko fiker hai... Wo phool jo khila nahi, Wo phool khil gaya to phir...? Tujhe bhi kuch nahi mila, Mujhe bhi kuch nahi […]
yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaar hota ... ager or jeete rehte tu yehi intazar hota kahoon kiss se main k kia hai ... shab-e-ghum bori bala hai mujhe kia bora tha marna .. ager aek baar hota yeh na thi humari kismat k wisaal-e-yaa hota .. koei mere dil se poche tere teer […]
KOI TO HOTA.... mai jis k dil ki kitaab benta mai jis ki chahet ka khawab benta mai hijr k mosem ki lembi raaton mein yaad ben ker azaab benta KOI TO HOTA..... jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota mai rooth jata […]
Kisi ki aas ban kar phir usay tanha nahi kartay bhalay kitni bhi mushkil ho magar aisa nahi kartay mohabbat mein shikayat ka kahin dastoor hota hay gila kar kay mohabbat ko kabhi ruswa nahi kartay wafa'ain dar haqiqat mein bari anmol hoti hain kabhi apni wafa'aon ka sila maanga nahi kartay
Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein Kuch Posheeda Si Baatein Hai In Posheeda Si Baaton Mein Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain In Baaton Ko Hum Muddat Se Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein Har Shai Main Tumhi Ko Dekha […]
Kaash k usay chahnay ka Arman na hota, Main hosh main hote howay anjaan na hota, Yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain, Ya koi patthar dil insan na hota
Kabhi kabhi aisa bhi hota hay, Dosti ka asar zara dair say hota hay, Aap ko lagta hai hum kuch nahin sochte ap k bare main. Per hamari her baat main aap ka hi ziker hota hai..
Jahan sawal k badlay sawal hota hay... Wahin mohabbaton ka zawal hota hay. Kisi ko apna banana hunar hi sahih.... kisi ka bun k rehna kamaal hota hay..!
Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai, Khushi jise mile wohi Rota hai, Umar bhar saath nibha na sake jo, Jaane kyun Pyaar ussi se hota hai.
Har subah naye kafile me sawaar hota hun. Har dopahar naye dardse najre chaar hota hun. Shaam ko gahrati hai darde yaari.. Phir nayi subah ka intzar karta hun.
Dard kia hota hai btayein gein kisi roz Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz Thi unki zid k mai jaun unko manane Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz kabi b maine to socha b nahi tha Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz Har roz aieene sey […]
Bachpan Ka Zamana Hota Tha, Khushio.N Ka Khazana Hota Tha. Chahat Chaand Ko Paane Ki, Dil Titli Ka Deewana Hota Tha. Rone Ki Wajha Na Hoti Thi, Hasne Ka Bahana Hota Tha. Khaber Na Thai Kuch Subho Ki, Na Shamo Ka Thikana Hota Tha. Daadi Ki Kahani Hoti Thi, Pariuon Ka Fasana Hota Tha. Daadi […]
Nazroon se jab nazar ka takrar hota hai, har mod par kissi ka intezaar hota hai, dil rota hai zakham hastey hain, isi ka naam to pyaar hota hai...
Kab kaun kisi ka hota hai Sub jhootey rishtey naate hain... Sub dil rakhney ki batein hain Sub asal roop chhupate hain... Ikhlaq se khali log yahan Lafzon ke teer chalate hain... I baar nigahon mein aakar Phir saari umar rulate hain... Who jis NE diye hain ashk humein AB us ko bhool hi jaate […]
Raat guzri phir mehekti subah ayi, dil dharka phir tumhari yaad ayi, aankhon ne mehsoos kiya uss hawa ko, jo tumhe chhu kar hamare pass ayi.
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
Dard me koi mousam pyara nahi hota, Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota. Koi dekhe to humari bebasi, Hum sabhi k ho jate hain Par koi humara nahi hota.
Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai, jise chaho wahi apne se dur hota hai, Dil tutkar bikharta hai is kadar jaise koi kanch ka khilona chur-chur hota hai.
Har jaga baithna intizar nahi hota, Har khamoshi ka matlab inkar nahin hota, Nazrain to har aik say milti hain, Har nazar ka milna inpyaar nahin hota...
Har baat ka jawab inkar nahin hota Har jaga rukna intazar nahin hota Yun to milti hein hazaron se nazrein Her nazar ka milna magar pyar nahin hota
Zamin k paap chupanay ko gagan hota hai, Mann ka paap chupanay ko badan hota hai, Shayud mar ker bhi paap chupatay hain log, Esi liye har laash per kafan hota hai....
Dil Ko Manana aggar Hota Aaasaaan Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi kabhi mila hota Yeh hi hasrat rahi hamari faqat Saath apne koi chala hota Hum bhatakte rahe the raahon mein koi rasta pata chala hota Thaam leta humain bhi barh ke koi Haath hum ko koi mila hota Hum ulajhte nahi zamane se Ek jo Humsafar […]
Kaash main chand tuu taara hota, Falak pey ek aashiyana hamara hota, Sub tujhey door bohut door sey daikha kertay, Par tujhey milnay ka haq sirf hamara hota...
Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai Samjhne Per Bhi […]
Kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota. Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota, Main ous k gum main rota or rota he jata. Os nay chupky say mujhy senay say lgaya hota. Os ko dastaan suna suna k thak sa giya. Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota. Main […]
Khamosh thay hum to magroor samaj liya, Chup hai hum to majboor samaj liya, Yehi aap ki khushnasibi hai ke hum itne qarib hain, Phir bhi aap nay door samajh liya.
Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil, Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte, Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein, Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte,
Hoton pe dosti ke fasaane nahi aate, Saahil pe samandar ke khazaane nahi aate. Udne do parindo ko abhi shokh hawa main, Phir laut kar college ke zamane nahi aate.
Phir aaj koi ghazal tere naam na ho jaye, Aaj kahin likhte likhte shaam na ho jaye, ker raha hon intezar tere izhar-e-mohabbat ka, Isi intezar mei zindagi tamam na ho jaye, ab to nahi leta tera naam sar-e-aam is darr say, kahin naam tera badnaam na ho jaye, Mangta hoon dua jab tu yaad […]
Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai, K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai, Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon? Gali Kochon Mein sannata bohut Hai, Na milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne, Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai, Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko, Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bohut […]
Na janay tum pay itna yaqeen kion hay? Tera khayal bhi itna haseen kion hay?? Pyar ka dard meetha hota hay... to aankh say nikla yeh ansu namkin kion hay?