Tarasti nazron ki pyaas ho tum
Tarasti nazron ki pyaas ho tum,
Taraptay dil ki aas ho tum,
Bujhti zindagi ki saans ho tum,
Phir kaise na kahu kuch khaas ho tum.
Tarasti nazron ki pyaas ho tum,
Taraptay dil ki aas ho tum,
Bujhti zindagi ki saans ho tum,
Phir kaise na kahu kuch khaas ho tum.
Bheeg jaati hain meri palkein jab tanhai main
Dar lagta hai, koi wajah jaan na le.
Dar to yun bhi lagta hai k koi meri
Aankhon me tumhe dekh k‚ pehchaan na le.
RAAT hui jab shaam k baad
Teri yaad aayi har baat k baad
Hum ne khamosh rah kar bhi dekha
Phir bhi teri aawaz aayi har saans k baad
Na kabhi muskurahat aap k hoton se door ho,
Aap ki har khuwahish haqiqat me manzoor ho,
ho jayain jo aap humse khafa,
khuda na kare humse kabhi aisa qasoor ho‚¦
Wo to paani ki boond hai jo ankhon se bah jaay,
ansu to wo hai jo tadap ke ankho me hi rah jaay,
wo pyar kya jo lafzon main bayan ho,
pyar wo hai jo ankho me nazar aaye.....
Sitam Karo Na Karo Hum Gila Nahi Karte,
Veerano Me Kabhi Phool Khila Nahi Karte,
Magar Itna Yaad Rakhna ,
Hum Jaise Dost Bar Bar Mila Nahi Karte
Ek Aada Aapki Dil Churane Ke,
Ek Aada Aapki Dil Mein Bas Jane Ke,
Ek Chehra Aapka Chand Jaisa,
Ek Zid Hamari Chand Ko Panay ki..!
Ghamo Mein Rone Walo Ko Hasaya Nahi Jata,
‚ Lehroon Say Pani Ko Hataya Nahi Jata,
Banne waley Ban Jate Hai Apne,
Kisiko Keh kar apna Banaya Nahi Jata
Tum Dil Se Yun Pukara Na Karo,
Humko Yun Ishara Na Karo,
Dur Hai Tumse Ye Majburi Hai Hamari,
Tum Tanhaiyon Mein Yu Rulaya Na Karo.
Kya yaar tum bhi ajeeb ho,
mere dil ke kitne kareeb ho,
na milte ho na sms karte ho ,
kya tum mujh say bi ziyadah gharib ho.....
Harf-e-laazim banoon ya k dua ho jaon,
Kaash main bhi teray honton say ada ho jaon,
Dhoond laina mera haath pakar k mujhko,
Be-Khayali main agar tujhsay juda ho jaon.
Dost akser yunhi ban jatay hain
Kuch sath rehtay hain kuch bicher jatay hain.
Kuch yaad rakhtay hain Kuch bhul jate hain.
Ab hum aapko dekhte hain Aap kahan tak saath nibhatay hain