Tamaam umer chahe mulaqat ho na ho..
Lamhey ye sunheri kal sath hon na hon,
Kal mein aaj jaisi baat hon na hon,
Yadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
Tamaam umer chahe mulaqat ho na ho..
Lamhey ye sunheri kal sath hon na hon,
Kal mein aaj jaisi baat hon na hon,
Yadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
Tamaam umer chahe mulaqat ho na ho..
Jub koi khayal dil say takrata hay,
Dil na chah ker bhi khamosh reh jata hay,
Koi sub keh ker pyar jatata hay, To,
Koi kuch na keh ker bhi pyar nibhata hay
Kion kisi ki khamoshi mujhey khamosh ker jati hay,
Kion uski udasi mujhey udas ker jati hay,
Kia rishta hay uska mera jo mujhey,
Uski yaad her pal aa jaati hay...
Aansu aa jatay hain aankhon main,
Per labon pay hansi lani parti hay,
Yeh mohabbat bhi kia cheez hay yaroo,
Jis sey kertay ho usi say chupani parti hay
Meri Qismat Main Andhere Hi Muqaddar Hain Agar
Jane Hasrat Ki Shaam Aas Jalaati Kiun Hai
Khatam Kar De Ye Safar Jab Koi Manzil Hi Nahi
Zindagi Roz Nayyi Raah Dikhaati Kiun Hai...
Mohabbat ko mohabbat ka ishara yaad rehta hai,
har pyar ko apna pyar yaad rehta hai,
wo pal jo yaar ki bahon me guzarta hai,
maut tak vo nazara yaad rehta hai
Tumhari yadon ki mehak in hawaon main hay,
Pyar hi pyar bikhra in fazaon main hay,
Aisa na ho k doriyan dard ban jayain,
Ab to aap k message ka intezar nigahon main hay..
phool ban ker muskurana zindagi hay
Musura k ghum bhulana zindagi hay,
Mil ker log khush hotay hain to kia howa
Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay
Lay k hum dosron ki hansi kia karain
jo apni nahin woh khushi kia karain
Tanha jeenay say behtar hay mar jayain hum,
Jub saath tum nahin to zindagi jee ker kia karain
Aap to manzil ko mushkil samajhtay hain
Hum aap ko apni manzil samajhtay hain,
Bara farq hay aap k aur hamaray nazariye main
aap humain sapna aur hum aap ko apna samajhtay hain
Meray kum sakhan ka yeh hukum tha,
K kalam us say mein kum keron
Meray hont aisay silay
k phir meri chup nay us ko rula dia
Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai,
Har ek adaa bhi teri meri Aankhon mein hai,
Tu bhaley hi bhula dey mujh ko,
Teri jagah aaj bhi meri Yaadon mein hai.