SMS / Text Messages

Naam ki kya baat kartey hoo

Naam ki kya baat kartey hoo,
Log chehrey tak bhul jaate hain,
Tum Samundar ki baat karte hoo,
Dubne waale to Aankhon mein bhi doob jaate hain.

Mohabbat ka Imtihaan aasan nahi

Mohabbat ka Imtihaan aasan nahi,
Pyaar sirf paane kaa naam nahi,
Muddatein beet jaati hai kissi ke Intzaar mein,
Yeh sirf pal-do-pal ka kaam nahi.

Khuda salamat rakhna unko

Khuda salamat rakhna unko,
Jo humse Nafrat karte hai,
Pyaar na sahi Nafrat hi sahi,
Kuch to hai jo woh sirf humse karte hai.

Din dhal gaya

Din dhal gaya,
Phir Raat aa gayi,
Phir Tanhaii mein baithne ki baat aa gayi,
Chand ko dekha to aap ki Yaad aa gayi.