Poetry SMS / Text Messages

kal raat machar ne kata mere chehre par,
dil mien junoon tha...aankhoon mien khoon tha,

uthaya ussay masal dene k liye par khayal aya,
kambakht mien bhi akhir apna hi khoon tha

Phulo ki mahak ko churaya nahi jata

Rule of boys:
“Phulo ki mahak ko churaya nahi jata,
suraj ki kirno ko chupaya nahi jata,
kitni bhi soni ho girlfrnd apni,
dusro ki girlfrnd ko bhulaya nahi jata..

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim "YA RUB"

Uss k honton ka tabassum rahay qayaim "YA RUB"
Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day...

Tu meri "KARB" ki raaton ko bhalay khatam na ker,
Uss ke her shaam k aakhir mai "SAWAIRA" ker day.

Uss k "DIL" k kisi konay main jaga day mujh ko...
Uss ki "AANKHON" ko meray sapnon say khaira ker day

Yeh meray dil ki dua hay "MERA MOLA SUN LAY"...
Saaaari duniya say chupa ker "USSAY MERA KER DAY"

Yeh zara zara si baat per,Tarha tarha ka azaab kiyon?

Yeh zara zara si baat per,
Tarha tarha ka azaab kiyon?

Jo kisi say bhi khafa na ho,
Mujhey us khuda ki talash hai.

Mujhey laghzishon pay her ghari,
Koi tokta hay baar baar.

Jisay ker k dil ko dukh na ho,
Mujhey us gunah ki talash hai,

Bina Humsafar k kab talak,
Koi musafaton main laga rahay.

Jahan koi kisi say juda na ho,
Mujhey us raah ki talash hay.

Mujhey daikh ker jo aik nazar,
Meray saray dard samajh sakay.

Jo is qadar ho Chara-e-gar,
Mujhey us nigaah ki talaash hay.

Kuch log tot kar chahtay hain

kuch log tot kar chahtay hain,
kuch log chah kar toot jatay hain,

hamain tum se mohabbat hai kitni,
aao aaj tumhein yeh batatay hain,

suna hay pyar mein mushkil nahi kuch bhee,
chalo samandar mein aag lagar kar azmatay hain.

Mujhey tum yaad aatay ho

Mukaddar k sitaron per,
Zamanay k esharon per,
udasi k kinaron per,
kabhe veran shehraon per,
kabhe sunsan rahon per,
kabhi hairon ankhon main,
kabhi bayjan lamhon main,
tumhari yad chupkay say,
koi sargoshi kerti hay,
yeh palkain bheeg jati hain,
do ansu tot girtay hain,
main palkon ko jhukata hon,
bazahir muskurata hon,
faqat itna he kah pata hon,
mujhey kitna sataty ho,
MUJHEY TUM YAD ATAY HO,
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO..

Wafa ruswa nahi kerna, Suno! aisa nahi kerna

Wafa ruswa nahi kerna,
Suno! aisa nahi kerna

Main pehlay hi akaila hon
Mujhey tanha nahi kerna

Meri in ankhon ko
Kabhi sehra nahi kerna

Judai bhi jo aa jayai
To dil choota nahi kerna

Bharoosa bhi zarori hay
Magar sab ka nahi kerna

Muqaddar phir muqadder hay
Kabhi da'awa nahi kerna

Jo likha hay zaroor hoo ga
Kabhi shikwa nahi kerna.!

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega

Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega

Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega

Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega

Koi gham nahi magar dil udas hai

Koi gham nahi magar dil udas hai,
Tujh se koi rishta nahi phir bhi ek aas hai,

Kehne ko bohut apnay magar tu ek khas hai,
Zyada emotional na hona uper sub bakwa hai:D

Dewangi se kum na thi kuch apni justuju

Dewangi se kum na thi kuch apni justuju,
Hum bewafa jahan mein wafa dhondte rahay,

Mehromiyon k dor mein Kin hasraton k sath,
Hum chulon ki BIRYANI mein BOTI dhondte rahay:-D

Duniya jalti hay

Agar kisi k pass sub kuch ho to duniya jalti hay,
Agar kuch na ho to duniya hansti hay,

Meray paas aap k liyay sirf "DUA" hai,
Jis k liyay sari duniya tarasti hay,

Us din khuda ne bhi jashn manaya hoga,

Us din khuda ne bhi jashn manaya hoga,
Jis din aapko apne hatho se banaya hoga,
Usne bhi bahaye honge aansu,
Jis din aapko yahan bhej ker, khud ko akela paya hoga