Poetry SMS / Text Messages

Mansob thay jo log meri zindagi k sath
Akser woh milay bari bayrukhi k sath

Fursat milay tou apna graiban bhi daikh lay
Aey dost youn na khail meri bay basi k sath

Chehray badal badal k mujhey mil rahay hain log
Itna Bura salook meri saadgi k saath.

Hasrat-e-Zindagi Thi Woh Shart-e-Zindagi To Nahi.

Woh Jo Badli To Rubaro Badal Gaye Hum Bhi.
Mohabbat Ki Thi Usey Bandagi To Nahi..

Faqt Zindagi To Hai Kat Jaye Gi Us k bagher..
Hasrat-e-Zindagi Thi Woh Shart-e-Zindagi To Nahi.

Hum nazaro se dur hai ankho se nahi

Hum nazaro se dur hai ankho se nahi,
hum khwabo se dur hai khayalo se nahi,

hum dil se dur hai dhadkan se nahi,
hum apse dur hai apki yado se nahi.

MISS YOU

Samjha do apni yadoon ko

Samjha do apni yadoon ko,
wo bin bulaye pas aaya karti hain,
aap to dur reh kar satate ho magar,
wo pas aakar rulaya karti hain

Jinhe nahi mili mohhobat duniya mein.

Insano ke kandhay pe insaan ja rahay hain.
kafan me liptay kuch armaan ja rahey hain.
jinhe nahi mili mohhobat duniya mein.
mohhobat pane woh shamshan ja rahay they.

Dono aankho mein ashq liya karte hain

Dono aankho mein ashq liya karte hain,
Hum apni neend mein tera naam liya karte hain.

Jab bhi aayain Hichkiyaan tumhain,
Samajh lena hum tumhain yaad kiya karte hain....

Maana hasna hai Aada Gham Chupanay ki

Par haste haste Kabhi woh bhi roye honge...
Yadon me hamari woh bhi khoye honge,
khuli aankhon se kabhi woh bhi soye honge,
Maana hasna hai Aada Gham Chupanay ki,
par haste haste Kabhi woh bhi roye honge...

Sapnon se sikayat kon karay

jo sach nahi hai wo sapna hai,
sapnon se sikayat kon karay,
jo dard diya wo apna hai,
apnon se sikayat kon karey?

Woh aaj achanak hi yaad aa gaye

Jisay hum kab se bhulaye baithay thay,
Woh aaj achanak hi yaad aa gaye,
Jis ghum ki barish nay kiya tha barbaad,
Usi barish k badal aaj phir cha gaye.