Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
Hamain aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!
Urdu poetry SMS / shayari sms messages (Urdu funny & love poetry)
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
Hamain aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!
Aankhon ki zuban woh samajh nahin patay,
Hont magar kuch bhi keh nahin paatay,
Apni bay basi kis tarah kahain,
Koi hay jis k bina hum rah nahin patay.
Totay howay paimanay main jaam nahin aata,
Ishq k mareez ko araam nahin aata,
Aey dil tornay walay tuney yeh to socha hota,
Toota howa dil kisi k kaam nahin aata.
Zindagi kisi ki amanat nahi hoti,
Amanat main kabhi kayamat nahi hoti,
Dil ko sambhal kar rakhna,
Meri dosti ki qaid main zamanat nahi hoti.
Nannay sey dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bheer main pehchan koi rakhna.
Achey nahi lagtey jab rahtey ho udas,
In hoto pe sada muskaan wohi rakhna.
Kadam kadam pe hawao se talukh rakhna,
Dosti ke naam pe dosti ka asra rakhna.
Hamari dosti ki khusbu zarur aayegi.
Aap apna INBOX khali rakhna.
Haqiqat samjho ya afsana;
Begana kaho ya deewana;
Suno mere dil ka fasana;
Teri dosti hai mere jeene ka bahana.
Zindagi mohtaj nahi manzilon ki,
Waqt har manzil dikha deta hai.
Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Waqt sabko jina sikha deta hai.
Sirf chahne se mulakat nahi hoti,
Suraj k saath kabhi raat nahi hoti,
Hum jise chahete hai jaan se bhi ziyadah,
Saamne hote hain, par baat nahi hoti.
Yeh mat sochna bhool jayenge tumhe,
Door rehkar bhi chahenge tumhe,
Agar dost banker raas na aaye,
To ajnabee banker bhi yaad aayenge tumhe.
Zaruri to nahi jine ke liye sahara ho,
Zaruri to nahi hum jinke hain who humara ho,
Kuch kashtiya dub bhi jaya karti hai,
Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho.
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,
Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.