Poetry SMS / Text Messages

Woh zindagi kia jis main pyar na ho,
Woh pyar hi kia jis main yadain na hon,

Woh yadain hi kia kis main tum na ho,
Woh tum hi kia jis main hum na hon,

Hamain aap yun hi sharabi na kehiye

Kuch nasha to aap ki baat ka hai,
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,

Hamain aap yun hi sharabi na kehiye,
Yeh dil per asar to aap se mulaqat ka hai

Falak pey ek aashiyana hamara hota

Kaash main chand tuu taara hota,
Falak pey ek aashiyana hamara hota,

Sub tujhey door bohut door sey daikha kertay,
Par tujhey milnay ka haq sirf hamara hota...

Ishq ki baazi hum haar gayai

Dilon say khailnay ka hunar hamain aata nahin,
Isi liyay ishq ki baazi hum haar gayai,

Meri zindagi se shayud unhain bohut pyar tha,
Isi liyay mujhey zinda hi maar gayai....

Keh sakain jise hum dil se apna

Kab maine kaha ki Chandi aur Sona chahiye,
Bas aap ke dil mein ek chota sa kona chahiye,

Keh sakain jise hum dil se apna,
Aisa bhi to koi dost hona chahiye.

Maray liye tu app hi sab se khas hain

Hum app ki yaad main udas hain,
Bas app say milnay ki ass hay,

Chahay dost kitnay hi kion na hoon,
Maray liye tu app hi sab se khas hain
Eid Mubarak To My Cute, Sweet and Special Friend.

Sukon dhondta phirta tha me baharon me

Sukon dhondta phirta tha me baharon me,
Haseen wadiyon mei, surmaye nazaron me,

Me is talash mein ja phncha chand taron main,
Magar ye mujhe mila Quran k 30 paron mein

Yeh duniya 1 chota sa khuwab hai.

Yeh duniya 1 chota sa khuwab hai.
Jiyo apni zindagi aise,
jaise ji raha gulab hai.
Reh kar sath aap kaanto k bhi,
muskurao hamesha jaise muskurata gulab hai.

Hum ne suboot diya apni Dosti ka

Hum ne suboot diya apni Dosti ka,
Ab aap apni dosti ka hisaab do,
Agar nahi karte ho pyar to delete kar do yeh msg,
Agar karte ho to is ka jawaab do.