Poetry SMS / Text Messages

Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai

Gale mein uske khuda ki ajeeb barkat hai
Wo bolta hai to ik roshni si hoti hai

Kiran nikalne se pehle gulab dekhe hai
Tumhari yaad mein wo tazgi si hoti hai

To dost naam ki cheez hi kyun hoti?

Chiraghon se agar andhere door hote,
To chandni ki chaahat kyun hoti,

Kat sakti agar ye zindgi akailay,
To dost naam ki cheez hi kyun hoti?

Aansu bane lafz aur lafz bane ghazal

Pane se khone ka maza aur hai,
Band aankho se dekhne ka maza kuch aur hai,

Aansu bane lafz aur lafz bane ghazal,
Teri yaado ke saath jine ka maza kuch aur hai.

Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo

Lamha lamha waqt guzar jayega,
Rooh ka daman bhi sath chod jayega,

Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo,
Kal kya pata kon kiski zindgi se chala jayega.

Meri her khushi tere naam hogi

Kahin andhaira to kahin shaam hogi,
Meri her khushi tere naam hogi,

Kuch mang k to daikh humse,
Bijli, pani k bill or qarz main dubi,
Property tere naam ho gi..

har koi is dil ko churana nahi janta

har koi in honton pe muskan lana nahi janta,
har koi is dil ko churana nahi janta,

ek tum hi to ho jo hum se jeet gaye,
warna har koi humain harana nahi janta.

Hum to apko hi apni jaan mante hai

Aapke sms ko Ehsaan mante hai,
Jawab dena emaan mante hai,

Woh aur hai jo pyaar mein jaan dete hai,
Hum to apko hi apni jaan mante hai.

Phir bhi aap nay door samajh liya

Khamosh thay hum to magroor samaj liya,
Chup hai hum to majboor samaj liya,

Yehi aap ki khushnasibi hai ke hum itne qarib hain,
Phir bhi aap nay door samajh liya.

Sodagaron k hathon neelam ho jao gay

Mujh say bicher k baynaam ho jao gai,
Sodagaron k hathon neelam ho jao gay,

Mujh ko acha nahin lagta tera her ek say milna,
Her aik ko mayas'sar howay to aa'am ho jao gay