Poetry SMS / Text Messages

Jub teri dhun main jiya kertay thay,
hum bhi chup chaap phira kertay thay,

Aankhon mein pyaas howa kerti thi,
Dil mein toofan utha kertay thay,

Loog aatay they ghazal sunne ko,
Hum teri baat kia kertay thay,

Such samajhtay they teray wadon ko,
Raat din ghar mein raha kertay thay,

Woh bhi kia din thay tujhey bhula ker,
Hum tujhey yaad kia kertay thay,

Kal tujhey dekh ker yaad aaya,
Hum bhi kabhi tumhain pyar kia kertay thay.

Ishq karna hay to...

Ishq karna hay, phir dard bhi sehna seekho
warna aisa karo, auqaat mein rehna seekho

Us dil say pyar karo jo tumhein dard day

Us dil say pyar karo jo tumhein dard day,
Per us dil ko kabhi dard na do jo tumhain pyar karay,

Q k tum duniya k liyay koi aik ho,
Per kisi aik k liyay sari DUNIYA ho.

Teeri nazron say oojhal ho jayain gay hum.

Teeri nazron say oojhal hoo jayain gay hum,
Door fizaoon mai kaheen khoo jayaingay hum.

Meeri yaadon say lipat ker roo gay tum..,
Jub zameen oorh k soo jayain gay hum.

Meri chahtoun pe shikway

Meri chahtoun pe shikwey, teray Raabtoun main waqfey
Haan yehe nishaaniyaan hain, k tu door ho rahaa hay!!!!!

Us ki aadat wohi har baat adhori karna

Us ki aadat wohi har baat adhori karna
aur phir baat ka mafhoom badaltay rehna

Janay kis umar mein jaye gi yeh aadat us ki
Roothna mujh se, to auron se ulajhtay rehna

Wo Baat Puraani Yaad Ai ...!

Iqrar Kiya Tha Tumny Bhe, Ky Mjhe Tumsy Muhabbat Hai ...!

Lo !! Bethey Bithaye Ajj Humein, Wo Baat Puraani Yaad Ai ...!

Jahan sawal k badlay sawal hota hay...

Jahan sawal k badlay sawal hota hay...
Wahin mohabbaton ka zawal hota hay.

Kisi ko apna banana hunar hi sahih....
kisi ka bun k rehna kamaal hota hay..!