SMS / Text Messages

Chup raho Khuda key liye

Bara maza ho jo mehsher meim hum karen shikwa
Woh minnaton sey kahen chup raho Khuda key liye.

Kaash k Duniya aisi ho…..

Koi dukh na ho koi ghum na ho,
Koi aankh kabhi num na ho,

Koi dil kisi ka tore na,
Koi sath kisi ka chore na,

Bas piyar ki nadiyan behti ho,
Kaash k Duniya aisi ho€¦..

sary jhagre ana key hote hain

Qurb key na wafa key hote hain
sary jhagre ana key hote hain

Wo humara hai is tarha se faiz
jaise bande Khuda key hote hain

Rishta Toot Jayega

Khayal-o-Khawab ho kar reh gai hain ronaqain ghar ki
Kisey maloom tha un ka sahara choot jayega

Na kar tameer khawaboon key mahal shab ki sihai main
Sahar hote hi in khawaboon se rishta toot jayega.....

Apno ko bhula dayta hai

na jane kis bat ki wo mujh ko saza dayta hai
mere hansti hoye ankhon ko rula dayta hai

hum ko maloom nahin koye to poocho us se
kya koye is tarah apno ko bhula dayta hai

shidat e ghum

ye keh kr mere dushman muje hansta chor gai
k tere apne hi kafi ha tuje rulane k liye

Nafraton k ghar nahi hote

Wo darakht jinper parindon k ghar nahi hote,
dost jitne bhi hon motaber nahi hote,

mare doston ki pehchan ha sirf itni,
k un k dilon ma nafraton k ghar nahi hote.

Kuch Na Puchiye

Kitne Nazuk Mizaj Hain Wo Kuch Na Puchiye
Neend Nahi Aati Unhaien Dharkan k Shor Say..............

Yehi Aadat

bas yehi aadat uski mujay achi lagti hai fida
udaas ker k mujay khud b khush nahi rehta

Dil maray

Dil maray mujh say sanbhalnay ka wada ker lay
Samnay bhaytayn hain unsay milnay ka erada ker lay

Koiee baat bhi ais waqat aun say ker lay
Pass anay ka unsay koiee bahana ker lay

Jazbaat per appnay pahaylay zara qaboo ker lay
Aizharay piyar ka thoray sa ahtaymam ker lay

Aankhay jub aussay char hoti hain

Aankhay jub aussay char hoti hain
Dil ki baatay hazar hoti hain

Piyar may pata chal raha hay abb
Kasay nindhay kharab hoti hain

Zamana kuo dushman banta hay
Kasa sunna baatay azab hoti hain

Samajh may kuch nahi aata Sameer
Aqal ki batay baykar hoti hain

Her hud guzar chuki hay

Her hud guzar chuki hay mari tujh say piyar ki
Zindagi mangi hay ager aur, to tujh say piyar ki

Her khoshi hogaiee hay mari wabasta tujh say
Jab say ibtada ki hay may nay, tujh say piyar ki

Taray siwa mujh ko abb kuch aur nazer nahi aata
Intaha dekh li hay sub nay meri, tujh say piyar ki