Naa jaane Ashq se Aankhon
Naa jaane Ashq se Aankhon mein kyun hain aaye hue,
Guzar gaya hai Zamana tujhe bhulaaye hue.
Naa jaane Ashq se Aankhon mein kyun hain aaye hue,
Guzar gaya hai Zamana tujhe bhulaaye hue.
Naam ki kya baat kartey hoo,
Log chehrey tak bhul jaate hain,
Tum Samundar ki baat karte hoo,
Dubne waale to Aankhon mein bhi doob jaate hain.
Khush fehmi kay silsilay itne daraaz hain..
Har eent sochti hai dewaar mujh sey hai..
Mohabbat ka Imtihaan aasan nahi,
Pyaar sirf paane kaa naam nahi,
Muddatein beet jaati hai kissi ke Intzaar mein,
Yeh sirf pal-do-pal ka kaam nahi.
Ghamon mein Muskurana chahta hoon mein,
Tumhain bhula k ek Duniya basana chahta hoon mein,
Magar naa jane kyun nikal aate hai Aansu,
Jab bhi tumhe bhulana chahta hoon mein.
Khuda salamat rakhna unko,
Jo humse Nafrat karte hai,
Pyaar na sahi Nafrat hi sahi,
Kuch to hai jo woh sirf humse karte hai.
Din dhal gaya,
Phir Raat aa gayi,
Phir Tanhaii mein baithne ki baat aa gayi,
Chand ko dekha to aap ki Yaad aa gayi.
Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,
Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain,
Karti hain vo kinare se bewafai ya fir sagar se wafa nibhati hain.............?
Bolti hai dosti chup rehta hai pyar,
hasati hai dosti rulaata hai pyar,
milati hai dosti judaa karta hai pyar,
phir bhi kyun dosti chor kar log karte hain pyar
Mana aaj unhe hamara koi khayal nahi,
jawab dene ko hum razi he par koi sawal nahi,
pucho unke dil se kya hum unke yaar nahi,
kya hamse milne ko wo bekarar nahi
Kaisay keh dain k unsay milnay ki chahat nahi,
Beqrar dil ko ab bhi rahat nahi,
Bhula daitay unhain bhi magar kia karain dost,
Kisi ko bhulanay ki is dil ko aadat nahin
Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
apki yado ko seenay sey lagaya hai,
pata nahi yaad apki hi kyo aati hai,
dost to hamne auron ko bhi banaya hai