SMS / Text Messages

Duaon Ki Bheer Mein Ek Dua Hamari

Duaon Ki Bheer Mein Ek Dua Hamari,
Jismain Mangi Humne Har Khushi Tumhari,

Jab Bhi Koi Dastak Sunai De Dil Pe,
Samjo Dua Kabul Hui Hamari

Zindagi ko ek rangin kalpana samjho

Zindagi ko ek rangin kalpana samjho,
Subah ko sach raat ko sapna samjho,
Bhulana chahte ho sabhi ghamon ko to,
Zindagi main mujhe apna samjho..

Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna

Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna,
Kabhi kisi ka aitbaar na karna,
Tham ke khanjar apne hi hathon mein,
Baydardi se apney dil par vaar na karna.

Jisne humko chaha, use hum chah na sakey

Jisne humko chaha, use hum chah na sakey,
Jisko chaha, usay hum paa na sakey,
Yeh samajh lo dil tutney ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake.

Kabhi kisi se zikar-e-judai mat karna..

Kabhi kisi se zikar-e-judai mat karna..
Is DIL se kabhi ruswai mat karna..
Jab dil uth jaye humsey to bata dena.
Na bata kar bewafai mat karna.

Bhoolna tumhain na asaan hoga

Bhoolna tumhain na asaan hoga,
jo bhule tumhain woh nadaan hoga.
Aap to basti ho rooh mein hamari,
Aap humain na bhulain ye apka ehsan hoga.

Meri har khata par naraz na hona

Meri har khata par naraz na hona,
Apni pyari si muskan kabhi na khona,
Sukoon milta he dekhkar apki muskurahat ko,
Mujhe maut bhi aye to bhi mat rona

Dil ki dhadkanain sunain kaisay

Dil ki dhadkanain sunain kaisay,
Hum apne dil ka haal batain kaisay,

Dil hai jis k liye dewana,
Use hum apna banain kaisay,

Apney bhi aab paraye lagte hai,
Hum apne pyaar is zalim dunia se chupa'ain kaisay.

Tujh ko chaand kahon

Main tujh ko chaand kahon yeh mumkin to hay magar,
log tujhey raat bhar dekhain yeh gawara nahin mujhey

Dard se dosti ho gayi yaaro

Dard se dosti ho gayi yaaro,
Zindagi bedard ho gayi yaaro.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Duur tak roshni to ho gayi yaaro....

Manzilain bhi uski thi,Rasta bhi uska tha.

Manzilain bhi uski thi,Rasta bhi uska tha.
Ek main akela tha,Kafila bhi uska tha..
Sath-Sath chalne ki soch bhi uski thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...
Aaj kyun akela hoon,Dil sawal karta hai,
Log to uske the,Kya KHUDA bhi uska tha....?

Mat karo koi wada jise tum nibha na sako,

Mat karo koi wada jise tum nibha na sako,
Mat chaho usey jisey tum pa na sako,

Pyar kahan kisi ka pora hota hay,
Iska to pehla shabd hi adhoora hota hay