Pholon ki wadi main ho basera AAP ka
Pholon ki wadi main ho basera AAP ka
Sitaronk angan main ho ghar AAP ka,
Dua hay aik ek dost ki ek dost k liye,
Aap say bhi khobsorut naseeb ho AAP ka,
Pholon ki wadi main ho basera AAP ka
Sitaronk angan main ho ghar AAP ka,
Dua hay aik ek dost ki ek dost k liye,
Aap say bhi khobsorut naseeb ho AAP ka,
Ashik ban gaya,Mat karo waar,
Bura nahee ye pyaar,Bura hai intezaar.
Letter diyaa to, Thappad mat maro yaar,
Bura nahee ye ikraar,Bura hai inkaar.
Sharaabee bana to,Mat dalo ilzaam,
Bura nahee ye jaam,Bura hai anjaam.
Na tasveer hay tumhari jo DEEDAR kia jaye,
Na tum ho paas jo PYAR kia jaye,
Yeh kaisa dard diya hay tum nay,
na kuch KAHA jaye na tum bin RAHA jaye..
Nazar Mila ker hum
say nazar chura na lena,
Dost bun ker
hum ko gawan na daina,
Mana k hum door hain aap say..,
Is baat ko bahana
bana ker humain bhula na dena...
Laho main rang ki tarah basa hay tera khayal
Main kis tarah teri yaadon say fasla rakhon...
Kisi bhi shakhs say koi gharz nahi mujh ko
Main sirf teray liyay sub say raabta rakhon...
Na janay tum pay itna yaqeen kion hay?
Tera khayal bhi itna haseen kion hay??
Pyar ka dard meetha hota hay...
to aankh say nikla yeh ansu namkin kion hay?
Aik zara si bhool khata ban gayai
Meri wafai hi meri saza ban gayai,
Dil liya aur khail ker tor diya,
Hamari jaan gayai unki ada ban gayai
Meri dua hai tum naik seerat ho
Tera dil teri tarhan khoobsurat ho,
Mil jaye har cheez tujhay dua say pehlay
khud dua ko tere hathoon ki zaroorat ho
Badban khulnay say pehlay ka ishara dekhna
Main samandar dekhta hoon tum kinara dekhna
Yoon bicharna bhi buhat asan na tha tum sa magar
Jatay jatay uska woh murd ker dobara dekhna.
Taras gaye aapke deedar ko,
Dil phir bhi aap k liye dua karta hai,
Hum se to acha aap k ghar ka aaina hai,
Jo rooz aapko dekha to karta hai...
durr kahin wadi main rahta hai woh!
har lamha khayal main rahta hai woh!
kaisa hai woh kis haal main hai woh!
dil kay har sawal main rahta hai woh!
Mere ashqon ka har qatraa,
Tere Mohabbat ki nishaani hai,
Jo tu samjhe to moti hai,
Tu na samjhe to paani hai