Poetry SMS / Text Messages

Suna hai wo keh kar gaye hai ke ab to hum,
Sirf tumhare khuwaboon main hi aayenge,

Koi keh day unse k wo wada kar lay,
Hum Zindgi bher k liye soo jayenge.

Bhulana tumhain na aasan ho ga

Bhulana tumhain na aasan ho ga,
Jo bhulay tumhain wo nadaan ho ga,

Aap to bastay ho rooh main hamari,
Bus aap hamain na bhulana yeh aap ka ahsan ho ga..

Chaho To Dil Se Mujh Ko Mita Dena

Chaho To Dil Se Mujh Ko Mita Dena
Chaho To Mujh Ko Bhoola Dena
Par Ye Waada Karo K
Kabhi Meri Yaad Aaye
Rona Mat Sirf Muskura Dena

Mana yeh waqt hame yaad karne wala nahi

Mana yeh waqt hame yaad karne wala nahi,
par bewaqt he yaad karliya karo,

mana aapke aspas sari duniya hai,
kabhi hamari kamika bhi ehsas karliya karo

Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi

Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi,
aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi,

aaj bhi rote hain unki yaad main,
jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi

Bhool jane ka hosla na hua

Bhool jane ka hosla na hua,
door rah kar bhi wo juda na hua,

unse mil kar kisi aur se kya milte,
koi dusra unke jaisa na hua

Hum agar aapse mil nahi patay..

Hum agar aapse mil nahi patay
aisa nahin ke hamein aap yaad nahi aatay,

mana jahan k sab rishte nibhaye nahi jatey,
par jo bas jatey haib dil maib phir bhulae nahi jatey..

Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta

Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta,
Fiza gayai to baharon main ji nahin lagta,

Na poch mujh say terey ghum main kia guzarti hay,
yahi kahonga hazaron mein jee nahin lagta.

Waqt guzrey ga hum bikhar jayenge

Waqt guzrey ga hum bikhar jayenge,
kaun jane ke hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge