SMS / Text Messages

Kya kia tere naam likhon

Kya kya Tere Naam likhon. . .?
"DIL" likhoon k "JAAN" likhoon?
Aansu chura k Teri Pyari Aankhon se. . . !
Apni har Khushi Tere Naam Likhoon

Gunah karke saza se darte hain

Gunah karke saza se darte hain,
zahar pee ke dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi,
hum toh doston ki wafa se darte hain..

Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay

Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay,
Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay,

Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay,
Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay,

Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam,
Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin kertay,

Tajasus aur barhta hay machal jatay hain sun ker hum,
Achanak pyar ki baaton ka rukh mora nahin kertay,

Teri nazar inayat say howay jatay hain jo ghayal,
Unhein qatil nigahon say kabhi daikha nahin kertay

Dil ka dard dikhayain kis ko

paas aa k sab hi dur chale jate hai,
hum akailay hain akele hi reh jate hai,

Dil ka dard dikhayain kis ko?
jab marham lagane wale hi dard de jate hai.