You are here: SMS4Smile » Ghazal SMS » Na koi rishta hay tum se na koi talluk
Na koi rishta hay tum se na koi talluk
Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,
Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,
Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,
Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.
Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.
Related SMS
- Rishta koi bhi ho use aisay nibhao
- Rishta Toot Jayega
- Ek rishta jo abhi ban raha tha
- A or T ka kiya rishta howa ?
- Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai...!
- mere hamsafar
- Labon ki sersarahat se,badan k choor honay tak
- Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho
- Tere qareb aa kay bari uljhano main hon
- Koi mujh ko.....
- Meri saadgi mera jurm hay
- Kis ki thi ?
- Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee
- kehte hain uss daur ko dosti
- Iqrar-e-wafa tum ne nahi karna
- Uss k honton ka tabassum rahay qayaim "YA RUB"
- Ek bhegi hui si raaat mile
- Main na mil sakon jo tum se
- Ghazab ki thi...
- To jo rooth gia to azab hai
- Mohabbat bhi mausam ki tarah
- Waqt apna mujhy sara day do
- Us ki yaadon main
- Wo phir se mil gaya to phir...?
- Har ghari mujhey aap ki parwah rehti hai
- Izhar e muhabbat
- Hum nazuk nazuk dil waley
- Baatein Meri yaad ayengi itni
- Tumhara chand sa chehra..
- Warna wo meri udasi ka sabab janta hai
- Main Roi To Nahi Hoon......
- Wo yar hamara kaisa hai ?
- Phele mai or tum the ab hum ho gaye
Koshish karo k koi tum se na roothay, Zindagi main apno ka sath na chootay, Rishta koi bhi ho use aisay nibhao, K us rishtay ki dor zindagi bhar na totay.
Khayal-o-Khawab ho kar reh gai hain ronaqain ghar ki Kisey maloom tha un ka sahara choot jayega Na kar tameer khawaboon key mahal shab ki sihai main Sahar hote hi in khawaboon se rishta toot jayega.....
Ek rishta jo abhi ban raha tha , Tutne laga magar banne se pahle. Ek sahare se uthate the ham, Gir gaye magar sambhalne se pahle. Sikhane lage the aap se muskurana, Rula diya magar hasne se pahle. Kadam jo badhen aap ki disha me, Ruk gaye wahi chalne se pahle. Magne ke liye kuchh […]
"A" ki Biwi "B", "B" ki Bhabhi "C", "C" ki beti "V", "V" ka dada "G" "G" ki biwi "K", "K" ki beti "T", To batao 'A" or "T" ka kya rishta ha ??? Answer= Husband & Wife
Khushiyon par fizaon ka pehra hai, na jane kis umeed pe dil thera hai, aapki ankhon se jhalakte dard ki kasam, yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai...!
Mere Humsafer, mere Hum-nasheen Main ne Rab se manga to kuch nahi Per jub bhi mangi koi dua! Nahi manga kuch bhi "Tere Siwa" Ye talab kya k mera Khuda! Naye ehad ki Sabhi rahtain, Sabhi chahtain, Wo ata kre tujhe manzlain, Ye talab kya k mera Khuda! Tujhe Bakht de, Tujhe Taj de Tujhe […]
Labon ki sersarahat se. badan k choor hony tak. Main tujh ko is tarah chahoon. K meri saans ruk jaye. Khataon par khata'ain hon. Na ho kuch baat kehne ko. Main tujh main yoon sama jaoun. K meri saans ruk jaye. Na himmat tujh main ho baqi. Na himmat mujh main ho baqi. Magar itna […]
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.! Tera wada bhi na siyasi ho, Ab fazaon mein na udasi ho! Chuu k qadmon ko her khushi guzray, Kash ab yun hi zindagi guzray! Tum meray sath meray din meri raaton main raho, Meri aankhon main raho […]
Tere qareb aa kay bari uljhano main hon, Main dushmanon main hon k tere doston main hon, Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago, Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon, Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar, Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon, Tu hans […]
koi mujh ko mera bharpur sarapa la de meray bazu,meri ankhe,mera chehra la de naya mausam meri binai ko taslim nahe meri ankho ko wohe khawab purana la de koi khahish nahe tuj se ay meri umar e rawan mera bachpan,mery jugnu,meri gurya la de
Yahan chahton ka sila nahi, yahan dosti ka maza nahi, yahan janay kesi hawa chali, Rahi dostoon main wafa nahi, yahan jal gaya mera aashiana, Abhi badlon ko pata nahi, Teray dar pe dastak de sakon, ye haq to tum ne dia nahi, Main raahi hon raah-e-umeed ka, Mujhay manzilon ka pata nahi, Be bas […]
Zakhm_e_Tanhai Mein Khushbo_e_HinA Kis Ki Thi Saaya Deevar Per Mera Tha, Sada Kis Ki Thi Os ki Raftaar Say Lipti Raheen Ankhein Meri Os Ne Murr Kar Bhi Na Dekha k Wafa Kis Ki Thi Ansuon Say He Bhar Gaya Daaman Mera Haath To Main Ne Uthaaya Tha, Dua Kis Ki Thi Meri Aahon Ki […]
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee, mager us din bohot daer ho jai gee , tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee, tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee, tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee. mujhe daikhe bina ik pal bhe […]
Kuch rishte anjaane mein ho jate hai pehle dil phir zindagi se jud jate hai kehte hain uss daur ko dosti jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai
Tumhe zid hy k iqrar-e-wafa tum ne nahi karna Meri taqdeer mein rang-e-HinA tum ne nahi bharna Tumhe manzoor he shayad mera ghut ghut k he marna Tumhare faisaly per ab,sar-e-tasleem kham hoga Main apny hont see loon ga Yu he bekaif gee loon ga Tumhare hijer ki tasveer ko dil main saja loon ga […]
Uss k honton ka tabassum rahay qayaim "YA RUB" Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day... Tu meri "KARB" ki raaton ko bhalay khatam na ker, Uss ke her shaam k aakhir mai "SAWAIRA" ker day. Uss k "DIL" k kisi konay main jaga day mujh ko... Uss ki "AANKHON" ko meray sapnon […]
Ek bhegi hui si raat mile us raat me tera hath mile tere lab se tapken jo bonden unhe mere labon ka sath mile kuch tum bi behke behke se kuch mujh pe nasha sa tari ho har pal me chaye madhoshi Ek aisi raat hamari ho phir tum aao meri bahon me main pyar […]
Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna Tumhain meri hi qasam hay, meri arzoo na karna Mujhy jis se thi muhabbat, use thi ajab si adat Kabhi mounh phair lena, kabhi guftugo na karna Maine chaha tha kisi ko, mera haal kya hay dekho Jo kiya qusoor maine, wo tum kabhi […]
Us k labon pe raat kahani ghazab ki thi, Jazbat beh rahe they rawani ghazab ki thi, Raja bhi la jwab tha wadi-e-ishq ka, Lekin dayar-e-husn ki rani ghazab ki thi, Kya kya na shaam i meri umar main magar, Guzri jo tere sath sohani ghazab ki thi, Dekhi hay main ne shaher main charti […]
Na jo thum sakay kisi aur say, Main bujhta aik chiragh hoon, Mera room room dard dard, Meray dukh ka sira nahin, Meri laghzishon main pali barhi, Koi khoi kahani bhi hai, To jo sath hai to sukoon naheen, To jo rooth gia to azab hai, meri zindagi hai aik goo mago, mujhay roshni milti […]
Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho, Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho, Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain, Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho, Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho, Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho, Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte […]
Mujhy jeenay ki umeed dobara day do, Meri doobti kashti ki kinara dy do, Main dard k sahil pay tanha khara hun, Phir aa k apni baahon ka sahara day do, Tera daaman to bhara hay sitaron say, Mujhy sadqay may ik sitara day do, Mery aangan my aj andhera ha bohat, Meri dehleez ko […]
Us ki yaadon main, Us ki baaton main, Kahin mera aqs bhi jhilmilata hoga, Lakh masroof hoga, Apnay kamoon main, Phir bhi hamain soch ker kabhi to muskurata ho ga.
Ye dard mit gaya to phir? Ye zakhm sil gaya to phir...? Bichhar kar sochta hoon main, Wo phir se mil gaya to phir...? Main titliyon k shehar mein, Rahoon to mujh ko fiker hai... Wo phool jo khila nahi, Wo phool khil gaya to phir...? Tujhe bhi kuch nahi mila, Mujhe bhi kuch nahi […]
Dil k labon pay aik dua rehti hai, Har ghari mujhey aap ki parwah rehti hai, Khuda har sukh zindagi ka kare atta aap ko, Har dua main meri yeh iltija rehti hai,
Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai, Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota, bay niazi say, magar kanptey awaz k sath, Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota, younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi, Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota, Hosla tujh ko na tha mujh say juda […]
Hum nazuk nazuk dil waley Kabhi hastey hain kabhi rotey hain Kabhi dil mein khwab parotey hain, Kabhi mehfil mehfil phirtey hain, Kabhi zaat mein gum ho jatey hain, Kabhi chup ki mohar sajatey hain, Kabhi geet labon par atey hain, Kabhi sab ka dil behlatey hain, Kabhi khud tanha ho jate hain, Kabhi shab […]
Tujhe Pyar Mera Satayega Aksar. Yaado ke toofa uthayega aksar. Zikar mera karne se pehle. tu Kuch soch ke muskrayega aksar. Mera Naam likh kar Kitabo main apni. tu Logon ke dar se Mitayega Aksar. Baatein Meri yaad ayengi itni. Jitna tu unhain Bhulayega Aksar.
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra... Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra... Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela... Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra... Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain... Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra... Koi chehra […]
Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai, Koi jaane ke na jane mera rab janta hai ! Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye, Kuchh milega e mera daste talab janta hai ! Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita, Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai ! Mai […]
Main Roi To Nahi Hoon...... Najaney Kiyoon Mera Kajal Jab Bhi Dalo Ankhon Main Ab Aksar Phail Jata Hai Tum To Jantey Ho In Dino Bohat Hi Thand Hoti Hai Tab Hi Hai Surkh Meri Naak Main Roi To Nahi Hoon...... Kaha To Hai Yunhi Buss Bheega Hai Aanchal Ka Kona Choro Tum Fiker Mat […]
Aye moj-e-hawa,Ab tu hi bata, Wo yar hamara kaisa hai? Jo bhool gaya hum ko kab se, Wo jaan se pyara kaisa hai ? Kia us ko jeewan lamho mein, Koi lamha mera baqi hai ? Kia uski jaagti aankhon main, Meri yaad se phaili udasi hai ? Kia wo bhi meri tarah yun hi, […]
Phele mai or tum the ab hum ho gaye wo mere zakhmo ka marham ho gaye.. jab se unse meri shana sayi howi wo mera sarmaya ghum ho gaye wo sar-e-gulshan sanwer kar agaya or sab hi pholo ke sar kham(open) ho gaye dekhiye matlab mera kuch or tha ap to ase hi bharam ho […]