Poetry SMS / Text Messages

Itna Tasalsul to meri sanson mein b nai FARAZ
jis rawani se wo shakhs mujhe yaad ata hai

Kya baat hai

Kitabo k panno ko palat k sochta hu
u palat jaye meri zindagi to kya bat hai,

khwabo me roz milti hai jo
hakikat me aaye to kya bat hai

Tanhaian kash na hotien

Mehfil k rang aur hote Tanhaian kash na hoten
Itne be rang na hote Judaian kash na hoten

Aisa ehsas na hota tere narm o nazik badan ka Shah
Aalam e madhoshi main pakri kalaian kash na hoten

Faqat ek baat kehna chahta hun

Faqat ek baat kehna chahta hun
Teri ankhon main rehna chahta hun

Bohat jaag chuka hun tere hijr main
Tere anchal main sona chahta hun

Zamane bhar ki khushian aur ter gham
Ye gham kuch aur sehna chahta hun

Tujhe Bhi Humari Yaad Ajaye

Sehme Labo Pe Koi Masoom Faryad Ajaye
Koi Khushi Ab In Ghamon Ke Bad Ajaye

Pal Pal Mehsoos Hoti Hai Teri Mojodgi
Kisi Lamhe Tujhe Bhi Humari Yaad Ajaye,

Aaj Tak Nahin Kaha Aapse

Teri Tishnagi Mein Choor Hain Hum,
Aaj Tak Nahin Kaha Aapse
To Ye Mat Samajhna Maghroor Hain Hum,

Ho Na Jao Aap Door Humse
Bas Isi Baat Ko Lekar Majboor Hain Hum

Aankhain bheeg jati hain

Ghamon k selaab tu pehle bhi bardasht kr lete thy Saqi
Par ab tu ek katray se bhi aankhain bheeg jati hain

Jab tak thokar na lagay bewafai ki

Har dharkan mein ek raz hota hay,
har baat ko batane ka ek andaz hota hai,

jab tak thokar na lagay bewafai ki,
har kisi ko apne pyar par naz hota hai.

ISHQ wahi hai jo ho ektarfa

ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,
IZHAR e ishq to khwahish ban jaati hai,
HAI agar ishq to aankho mein dekho,
ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai..

Mujhe dekh kar chehra ghuma lete hai,

Mujhe dekh kar chehra ghuma lete hai,
Mujhe dekh par nazrein phira lete hai,
Par ek baat par ghaur unkay kartey hai,
Baatain ghairon ki, qasmain mere naam ki kha leti hai.

Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai

Khulle paare hain meri zindagi kay saare warq
Najane kab koi aandhi ura kar lai jaii

Kisi ka dard kahan tak apnay pass rakhon
Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai