Poetry SMS / Text Messages

Har taraf noor hai khusboo hai
Teri ankhon mein kaisa jadoo hai

Sari duniya hai meri jholi mein
Aur duniya meri bas tu hai

Woh bhi hume yaad kare zarori to nahi

Zindagi sabko milay zaroori to nahi,
mohabat sabko milay zaroori to nahi.

Kuch log bahut yaad aate hain,
woh bhi hume yaad kare zarori to nahi.

Zindagi nahin hamain doston say pyari

Zindagi nahin hamain doston say pyari,
Doston pay hazir hay jaan hammari,

Ankhon main hamaray ansu hain to kia,
Jaan say bhi pyaari hay muskaan tumhari..

Shayari main dimagh nahin dil zarori hay

Shayari main dimagh nahin dil zarori hay,
Kuch jigar ka khoon ho shamil zarori hay,

Sirf lafzon ki tukbundi shayari nahin hoti,
Shair ho dil pay lagnay k qabil zarori hay...

Kya zamana tha hum roz mila karte thay

Kya zamana tha hum roz mila karte thay,
Raat bhar chand k hamrah chala karte the,

Dekh k jo hamain chup chap guzar jata hai,
Kabhi is shakhs sey hum pyar kiya karte the.

Aap ko pyaar k andaaz hi kam aatay hain

Muskuratay hoi ankhon main sanam aatay hain,
Aap kia janain kahan say mere gham aatay hain,

Aap ko hum say pyar main shikayat kia ho gi,
Aap ko pyaar k andaaz hi kam aatay hain...

Apnon k sitam hamsay bataye nahin jatay

Apnon k sitam hamsay bataye nahin jatay,
Yeh hadsay woh hain jo samjhaye nahin jatay,

Aik umer ki koshish say bhula di hay teri yaad,
Laikin teri yaad k sayai nahin jaatay...

Bas aapki ek jhalak nahin milti

Aapke khayalon say fursat nahi milti,
hame ek pal ki raahat nahin milti...

mil to jata hai sab kuch..
bas aapki ek jhalak nahin milti.

Ai muhabbat tere anjam pey rona aaya

Ai muhabbat tere anjam pey rona aaya,
Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya,

Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham,
Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya...