Poetry SMS / Text Messages

Jab Aapka Naam Zaban Par Aata Hai,
Pata Nahi Dil Kyo Muskurata Hai.

Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna
Jo Haste Hue har waqt Yaad Aata Hai.

Socha yaad na kar k thora tadpaye unko

Socha yaad na kar k thora tadpaye unko,
kisi aur ka naam ley kar jalayain unko.

Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.

U to hum bhi madad kia nahi karte

U to hum bhi madad kia nahi karte,
Choclate kya toffy bhi dia nahi karte.

Ye DOSTI sirf apse hai warna msg to kya
hum kisi ko number bhi dia nahi karte.

Mujhe muskurane ki dua na do

Mujhe dard-e-dil ki intehaa maloom hai,
Mujhe dard-e-ishq ki saza maloom hai,

Mujhe muskurane ki dua na do‚¦
Mujhe pal bhar muskurane ki saza maloom hai.

Us ajnabi ka yun na intzaar karo

Us ajnabi ka yun na intzaar karo,
Is aashiq dil ka na aitbaar karo,

Roj nikla kare kisi ki yaad me ansu,
Itna kabhi kisi se na pyaar karo

Nigah dor talak ja kar laut aye gi..

Karo ge yaad to har baat yaad aye gi,
Guzartey waqt ki har mulaqat yad aye gi,

Talash karo ge hum se behtar dost koi,
Nigah dor talak ja kar laut aye gi..

Per dost to hamesha dil k qarib rahenge

Din beet jatey hain suhani yadain ban kar,
Batein reh jati hain kahani ban kar,

Per dost to hamesha dil k qarib rahenge,
Kabhi muskan to kabhi ankhon main pani ban ker..

Aap kion udaas baithay ho

Wadiyon se soraj nikal aaya hai,
Fizaon me naya rang chaya hai,

Aap kion udaas baithay ho,
ab to muskura do, hamara SMS aaya hai

Milnay ka waqt maat nikalo par

Har waqt kaam mein itne na ulajh jaya karo,
Kabhi hamari yaad ko bhi dil mein laya karo,

Milnay ka waqt maat nikalo par,
Kabhi apne sms ki awaz to sunaya karo.

Sadgi main bhi ik sajawat si hai,

wo hai bohat sada aur bawaqar lakin us ki
sadgi main bhi ik sajawat si hai,

us ki guftugu main hai haqiqat ka
rang warna ab her cheez milawat si hai

Dil ki nazuk dhadkano ko

Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya

Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.