SMS / Text Messages

Jinho nay khaa rakhi hai kasam mujh ko mitaanay kee

Jinho nay khaa rakhi hai kasam mujh ko mitaanay kee,
Phir bhi unhi say pyaar kar raha hun main,

Maloom hai na aayegi kabhi waqt say pehlay,
Phir bhi apni maut ka intezaar kar raha hun main,

Waqt ki ho doop ya ho tez aandhiyan

Waqt ki ho doop ya ho tez aandhiyan,
kuch kadmo k nishan kabhi nahi khotay.

Jinhe yaad karke muskura de aankhainn,
wo log door ho kar bhi door nahi hotay.

Ae zindagi tujh say ab na main kar paungaa wafaa

Ae zindagi tujh say ab na main kar paungaa wafaa,
Ab apnay bandhanon say mujhay tu azaad kar day,

Galti say kuchh phool meray daaman mein aa giray thay,
Wapas tu lay lay inko aur iss mein kantay tu bhar day,

Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Kaash koi hum par bhi pyar jatata

Kaash koi hum par bhi pyar jatata,
Hamari aankhon ko apne haathon se chhupata.

Hum jab poochte kaun ho tum?
Muskura kar woh apne aapko hamari jaan batata.

Usne khoya wo jo sirf usi ka tha

Thukra ke usne mujhko,kaha ki muskuraao!
Main hass diya kiyo ki ,sawal uski khushi ka tha.

Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha..

Muje dard-e-ishq ka maza malum hai

Muje dard-e-ishq ka maza malum hai,
Dard-e-dil ki inteha malum hai,
Zindgi bhar muskrane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskrane ki saza malum hai.

Ho nahi sakta mujhe teri yaad na aaye

Ho nahi sakta mujhe teri yaad na aaye,
bhul k bhi tujhe bhulun wo ehsaas na aaye,
tu bhule to teri marzi,
MAIN bhulu to agli saans na aaye..

Ek Khushi ki chaah main

Ek Khushi ki chaah mai har khushi se dur huye hum...
Kisi se kuch keh bhi na sake itne majbur huye hum..
Na aayi unhe nibhaani pyar mai wafaa...
Aur jamaane ki najar bewafa ke naam se mashur huye hum...

Tanhaayiyon kay shehar mein ikk ghar banaa liya

Tanhaayiyon kay shehar mein ikk ghar banaa liya,
Rusvaayiyon ko apna mukaddar banaa liya,

Dekha hai yahan pathar ko poojtay hain loag,
Iss liye apnay dil ko ham nay pathar banaa liya,

Unhone Apna Kabhi Banaya Hi Nhi,

Unhone Apna Kabhi Banaya Hi Nahi,
Jootha Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nahi.
Galtiyan Apni Hum Maan Bhi Jaatey,
Par Kya Kare Kasoor Hamara Hume Bataya Hi Nahi.

Ab na koshish karenge unhe bulane ki

Ab na koshish karenge unhe bulane ki,
jinki adat hai bin baat rooth jaane ki.
vo chahe to bhool jayein humein sapna samaj kar,
magar hamein adat nahin apno ko dil se bhulane ki.