Palkon me qaid kuch sapne hain...
kuch begane kuch apne hain...
na jane kya KASHISH hay in khayalon main...
woh ghair hoke bhi kitne apne hain...
Urdu poetry SMS / shayari sms messages (Urdu funny & love poetry)
Palkon me qaid kuch sapne hain...
kuch begane kuch apne hain...
na jane kya KASHISH hay in khayalon main...
woh ghair hoke bhi kitne apne hain...
Hume apne dil mein basaye rakhna,
hamari yaadon k chirag jalaye rakhna,
bahut lamba hai safar zindagi ka mere dƒöst,
ek hissa hume bhi banaye rakhna.
Us ki yaadon main,
Us ki baaton main,
Kahin mera aqs bhi jhilmilata hoga,
Lakh masroof hoga,
Apnay kamoon main,
Phir bhi hamain soch ker
kabhi to muskurata ho ga.
koi gila na koi shikwa rahe aapse...
ye aarzo hai ek silsila bana rahe aapse...
bas ek baat ki bari umeed hai apse...
pehchaan lena agar kahi hum mile aapse...
Koi gila,koi shikwa na rahe aapse,
yeh aarzoo hai k silsila rahe aapse,
bas is baat ki badi umeed hai aapse,
khafa na hona agar hum khafa rehein aapse.
Jisne humko chaha,use hum chah na sake.
Jisko chahte the,use hum pa na sake.
Yeh samjhlo k dil tootne ka khel hai,
kisi ka toda aur apna bacha na sake.
Aye khuda teri mehfil me
haath uthaye fariyaad karte hai,
sambhalay rakhna us amanat ko
jise hum tanhai me yaad karte hai.
('_')
Likh sakte kisi ki taqdir agar hum.
Aapki taqdir mein har khushi likh dete.
Jo mod aapko kamyabi dilaye.
har lakeer ko ussi taraf mod dete.
Saza khoob mili tum say dil laganay ki,
Nazar lagi hay meray pyaar ko zamanay ki..
Ab to qabar main say bhi nikal k kehtay hain meray haath,
Hamain tou hasratain reh gayain tum galay laganay ki
Is qadar hamari chahat ka imtehan na lijiye,
Kion hain khafa yeh bayan to kijiye..
Kar dijiye maaf agar ho gayai hum say khata,
Youn khamosh reh kar hamain saza na dijiye....
Phool khiltay hain baharon ka sama hota hay,
Aisay mousam main tou pyaar javaan hota hay,
Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay,
Yeh afsana to nigahon say bayan hota hay....
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!