Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
Urdu poetry SMS / shayari sms messages (Urdu funny & love poetry)
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
Kisi ko apna bananay main dair lagti hay,
Aik wada nibhanay main dair lagti hay,
Pyar to pal bhar main ho jaata hay,
Magar usay bhulanay main dai lagti hay....
Yeh sach hai k Aa jata hai shohrat ka Asar..
insaan to kiya dar-o-deewar badal jate hain..
Aur bewafa badle ya naa badle..
Waqt aane par wafadar badal jate hain.
Pee hay sharab her gali her may khanay say,
Aik dosti si ho gayai hay sharab k jaam say,
Guzray hain hum kuch aisay muqam say k,
Nafrat si ho gayai hay mohabbat k naam say...
Jo hud say na guzar jaye wo pyar hi kiya
Jo pyar karnay pay majboor na kar day wo iqrar hi kia,
Intezar to sab kartay hain,
saansain tootnay tuk Jo sath na day woh yaar hi kia
Jub jab aap say milnay ki umid nazar ayai,
Meray paon main zanjeer nazar ayai,
Gir paray aason aakhon say or,
her ek aasun main aap ki tasveer nazar ayai
Jitna pyar paya hai tumse.
Ussse aur zyada pane ko jee chahata hai.
Jane who kaun se khoobi hai aap mein
ki har rishta aapse banane ko jee chahata hai..
Bewaja kisi ko sataya nahi karte,
had se ziyada kisi ko tarpaya nahi karte,
jinki sansain chalti ho apke sMs se,
unhe apne sMs k liye rulaya nahi karte. . .
Khushbu ki tarah aapke paas bikhar jayenge,
Sukoon bankar dil mein utar jayenge,
Mehsus karnay ki koshish kijiye,
dur hokar bhi paas nazar ayenge.
Yaaden teri rakh di hai sambhalkar,
Dur kahi is dil se nikalkar.
Sab kuch to vapas le liya hai aapne dur jaakar,
in yaadon ko bhi le jana kisi roz aakar..
Raat ko raat ka tohfa nahin dete,
dil ko jazbat ka tohfa nahin dete,
hum to tumhe chand bhi de dete,
lekin chand ko chand ka tohfa nahin dete.
Log har manzil ko mushkil samajhte hai,
ham har mushkil ko manzil samajhte hai.
Bada fark hai log aur hamare nazarie me,
log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai..