Mana aaj unhe hamara koi khayal nahi
Mana aaj unhe hamara koi khayal nahi,
jawab dene ko hum razi he par koi sawal nahi,
pucho unke dil se kya hum unke yaar nahi,
kya hamse milne ko wo bekarar nahi
Mana aaj unhe hamara koi khayal nahi,
jawab dene ko hum razi he par koi sawal nahi,
pucho unke dil se kya hum unke yaar nahi,
kya hamse milne ko wo bekarar nahi
Kaisay keh dain k unsay milnay ki chahat nahi,
Beqrar dil ko ab bhi rahat nahi,
Bhula daitay unhain bhi magar kia karain dost,
Kisi ko bhulanay ki is dil ko aadat nahin
Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
apki yado ko seenay sey lagaya hai,
pata nahi yaad apki hi kyo aati hai,
dost to hamne auron ko bhi banaya hai
Nigahain nigahon se mila kar to dekho,
naye logo se rishta bana kar to dekho,
hasratain dil me dabane se kya faida,
apne hoton ko hila kar to dekho,
asmaan simat jayega tumhare agosh me,
chahat ki bahen phaila kar to dekho
Khuda se thora raham kharid letey,
aap ke zakhmon ka marham kharid letey,
agar kahin kabhi bikti khushiyan meri,
to saari bech kar aapka har ghum kharid letey
Kisi na kisi pe kisi ko aetbar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
khubiyon se nahi hoti mohabbat bhi sadaa,
khamiyon se bhi aksar pyaar ho jata hai
Sms karenge hum ek duje ko bari bari,
hame lagti hai ye rasam bari pyari,
ye sms milte hi ek sms bhej dena,
kyunki hame bilkul pasand nahi udhari
Gham ney hasney na diya,
zamanay ney roney na diya,
is uljhano ney jiney na diya,
thak k jab sitaron sey panah li,
neend aayi tho aapki yaad ne sone na diya
Na chaho kisi ko itna k chahat aap ki majbori ban jayai,
Chaho kisi ko itna k aap ka pyar us k liyay zarori ban jayai..!
Ghum ki aahat na aaye tere dar par,
pyar ke samander ka tum bhi ek kinara ho,
bhool se jo tapke teri aankhon say moti,
thamay wohi jo tumhain sabse pyara ho..
IQrar may shabdo ki ahmiyat nai hoti,
dil ke jazbat ki awaz nai hoti,
ankhainn bayan kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzon ki mohtaj nahi hoti
Apnay pyar ko chupana chaha, per chupa na sakay,
Deewanay dil pay qabu hum, paa na sakay,
Aaj itnay qarib say guzar gayai woh,
Phir bhi unka haath hum thaam na sakay...