SMS / Text Messages

Pyar ke ujalon main ghum ka andhaira hion aata hai

Pyar ke ujalon main ghum ka andhaira hion aata hai,
Jisko hum chahtey hain wohi kion rulata hay?

Merey khuda agar wo mera naseeb nahi
to aisay logon say phir mujhey kion milata hay?

Waqt guzrey ga hum bikhar jayenge

Waqt guzrey ga hum bikhar jayenge,
kaun jane ke hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge

Log phoolon sey mohabbat kartey hain

Log phoolon sey mohabbat kartey hain,
kaaton ko kis ney yaad kiya,

hum kaaton sey mohabbat kartey hain,
kyun k phool ney hamain barbaad kiya

Kaanch chubhey to nishan reh jaata hai

Kaanch chubhey to nishan reh jaata hai,
dil totay to armaan reh jaata hai,

laga to deta hai waqt marham is dil par,
phir bhi umar bhar ek zakhm reh jata hai

Tujh sey dosti karne ka hisab na aya

Tujh sey dosti karne ka hisab na aya,
mere kisi bhi sawal ka jawab na aya,

hum to jagte rahe tere hi khayalon main,
aur tujhey so kar bhi hamara khuwab na aya...!

Hum nibhayenge dosti marte dum tak

Hum nibhayenge dosti marte dum tak,
hum hasayenge tumko gham se khushi tak,

aye dost kabhi humse naraz na hona,
saath rehna hamare akhiri dum tak

Nashili aankhon sey woh jab hamein dekhte hain

Nashili aankhon sey woh jab hamein dekhte hain,
hum ghabraa kar ankhen jhuka laitay hain,

kaun milaye unn ankhon se ankhen,
suna hai wo ankho se apna bana laitay hain...!

Nazroon se jab nazar ka takrar hota hain

Nazroon se jab nazar ka takrar hota hai,
har mod par kissi ka intezaar hota hai,

dil rota hai zakham hastey hain,
isi ka naam to pyaar hota hai...

Jo bina dil walon se dil laga baithey

Anjanay mein hum apna dil gawan baithey
is pyar mein kaisa dhoka kar baithey

unse kya gila karain bhool hamari hi hai
jo bina dil walon se dil laga baithey

Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye

Kaash dil ki awaaz me itna asar ho jaye
k hum jise yaad karain usey khabar ho jaye
rab se yahi dua hai meri k
aap jise chahain woh aap ka humsafar ho jaye

Jawani ke din chamkiley ho gaye

Jawani ke din chamkiley ho gaye,
husn ke taiwar nookilay ho gaye,

hum izhar karney main thoray dhiley ho gaye,
AUR UNKE HATH PEEL HO GAYE....

Dil mey KHUDA hain....sub mujh per FIDA hain

Dil mey KHUDA hain,
Aankh mey NASHA hain,
Baat mey MAZAA hain,
Chaal mey ADAA hain,
Andaaz bhi JUDAA hain,
Pyar mey WAFAA hain!
Arrey.... isiliye toh
sab log Mujh per FIDAA hain...