Qudrat ke karishmo mein agar Raat na hoti
Qudrat ke karishmo mein agar Raat na hoti,
Khuwabon mein bhi unse Mulaqat na hoti,
Yeh Dil hi to har ek Ghum ki wajah hai,
Yeh Dil hi na hota to koi baat hi na hoti.
Qudrat ke karishmo mein agar Raat na hoti,
Khuwabon mein bhi unse Mulaqat na hoti,
Yeh Dil hi to har ek Ghum ki wajah hai,
Yeh Dil hi na hota to koi baat hi na hoti.
Tujh pe Qurbaan meri Yaari hai,
Hass ke mar jaaun iss ki Tayari hai,
Silsila na khatam ho apne Pyaar ka,
Kyunki humne tumhe yaad kiya ab tumhari baari hai.
Bhule hai woh kuch iss qadar humein,
Ki unhe samjhana bhi mushkil ho gaya,
Kya pata koi khata ho gayi humse,
Ya koi aur unke Zyada qareeb ho gaya.
Kanton mein rehkar bhi Zindagi ji lete hain,
Har Zakhm ko apne hathon se si lete hain,
Jiss hath ko keh diya apno ka hath,
Uss hath se hum Zeher bhi pi lete hain,
Kabhi unki palkon se humara Intzaar hoga,
Dil ke kissi kone mein humare liye Pyaar hoga,
Guzar rahi hai Raat unke Intzaar mein,
Kabhi unko humara bhi Intzaar hoga.
Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain,
Aur Insaan Zinda rehne se Ghabrata hain,
Naa jaane kaise Hazaaron kaanton ke beech,
Rehkar bhi ek Phool Muskurata hain.
Naa jaane Ashq se Aankhon mein kyun hain aaye hue,
Guzar gaya hai Zamana tujhe bhulaaye hue.
Naam ki kya baat kartey hoo,
Log chehrey tak bhul jaate hain,
Tum Samundar ki baat karte hoo,
Dubne waale to Aankhon mein bhi doob jaate hain.
Khush fehmi kay silsilay itne daraaz hain..
Har eent sochti hai dewaar mujh sey hai..
Mohabbat ka Imtihaan aasan nahi,
Pyaar sirf paane kaa naam nahi,
Muddatein beet jaati hai kissi ke Intzaar mein,
Yeh sirf pal-do-pal ka kaam nahi.
Ghamon mein Muskurana chahta hoon mein,
Tumhain bhula k ek Duniya basana chahta hoon mein,
Magar naa jane kyun nikal aate hai Aansu,
Jab bhi tumhe bhulana chahta hoon mein.
Khuda salamat rakhna unko,
Jo humse Nafrat karte hai,
Pyaar na sahi Nafrat hi sahi,
Kuch to hai jo woh sirf humse karte hai.