SMS / Text Messages

Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai

Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai,
Khushi jise mile wohi Rota hai,
Umar bhar saath nibha na sake jo,
Jaane kyun Pyaar ussi se hota hai.

Jiss din band ho gayi meri Aankhein

Jiss din band ho gayi meri Aankhein,
Kayi Aankhon se uss din aansu barseinge,
Jo kehte hai bahut bolta hai,
Kabhi wohi meri Aawaz sunne ko tarseinge.

Dil majboor ho raha hay

dil majboor ho raha hay tum se bat karnay ko,
bus zid yeh hay k guftugu ka aghaaz tum karo.

Kamabakth Ishq ne aaj mujhe rula diya

Kamabakth Ishq ne aaj mujhe rula diya,
Jis pe marta tha usne hi bhula diya,
Mein bhi uski Yaad bhulane k liye peeta gaya,
Ek din zalim ne us mein bhi Zeher mila diya.

Dard hota nahi Duniya ko dikhane k liye

Dard hota nahi Duniya ko dikhane k liye,
Har koi rota nahi Aansu bahane k liye,
Ruthne ka mazaa to tab aata hai,
Jab koi apna ho manane k liye.

Qudrat ke karishmo mein agar Raat na hoti

Qudrat ke karishmo mein agar Raat na hoti,
Khuwabon mein bhi unse Mulaqat na hoti,
Yeh Dil hi to har ek Ghum ki wajah hai,
Yeh Dil hi na hota to koi baat hi na hoti.

Tujh pe Qurbaan meri Yaari hai

Tujh pe Qurbaan meri Yaari hai,
Hass ke mar jaaun iss ki Tayari hai,
Silsila na khatam ho apne Pyaar ka,
Kyunki humne tumhe yaad kiya ab tumhari baari hai.

Bhule hai woh kuch iss qadar humein

Bhule hai woh kuch iss qadar humein,
Ki unhe samjhana bhi mushkil ho gaya,
Kya pata koi khata ho gayi humse,
Ya koi aur unke Zyada qareeb ho gaya.

Kanton mein rehkar bhi Zindagi ji lete hain

Kanton mein rehkar bhi Zindagi ji lete hain,
Har Zakhm ko apne hathon se si lete hain,
Jiss hath ko keh diya apno ka hath,
Uss hath se hum Zeher bhi pi lete hain,

Kabhi unki palkon se humara Intzaar hoga

Kabhi unki palkon se humara Intzaar hoga,
Dil ke kissi kone mein humare liye Pyaar hoga,
Guzar rahi hai Raat unke Intzaar mein,
Kabhi unko humara bhi Intzaar hoga.

Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain

Zindagi mein kayi Mushkilain aati hain,
Aur Insaan Zinda rehne se Ghabrata hain,
Naa jaane kaise Hazaaron kaanton ke beech,
Rehkar bhi ek Phool Muskurata hain.

Naa jaane Ashq se Aankhon

Naa jaane Ashq se Aankhon mein kyun hain aaye hue,
Guzar gaya hai Zamana tujhe bhulaaye hue.