Har taraf khamoshi ka saya hai
Har taraf khamoshi ka saya hai,
Zindagi me pyaar kisne paya hai,
Hum yaadon mein jhoomte hai uski aur zamana kehta hai
"Dekho aaj phir peekar aaya hai."
Har taraf khamoshi ka saya hai,
Zindagi me pyaar kisne paya hai,
Hum yaadon mein jhoomte hai uski aur zamana kehta hai
"Dekho aaj phir peekar aaya hai."
Hont nahi keh sakte jo afsana dil ka,
Shayad nazar se wo baat ho jaaye,
Iss umeed se karte hain intezar raat ka ki
Shayad sapno me mulaqat ho jaye.
Yahi to khubsurt dosti ka nata hai
jo bina kisi shart ke jiya jata hai,
rahe duriya darmya to parwa nahi,
dost to harpal DIL me basaya jata hai.
Zindagi me apki ahmiat bata nahi sakte,
dil me apki jaga dikha nahi sakte
Kuch rishtay anmol hote hain Kitne,
ye hum apko samjha nahi Sakte.
Jaise taron ke sath aakash hai,
waise sachi dosti ke sath wishwas hai.
Dil ki nazron se dekhogi agar!
Hum har waqkt aapke pass hai.
Khuli aankhon se sari umar dehka,
Ek aisa khowab jo apna nahin tha,
aaj tak woh shahks dil mein haiiiii,
K jo us waqt bhi mera nahin tha...
Bohat Udas Hai KOi Shakhs Teray Janay sai,
Ho Sakay To Lout aa Kisi Bahanay Sai,
Tu Lakh Khafa sahi magar Ik Bar To Dekh,
Koi Toot Gaya hai Teray Rooth janay sai...!!
Nazar ne Nazar se mulaqat kar li,
Rahe dono chup par bat kar li,
Khushiyon ka mausam kuch iss kadar badla,
Ki in aankhon ne ro-ro kar barsaat kar li.
Zindagi mein kuch sapnay saja lena,
Agar waqt mile to kuch armaan jaga lena,
Hum aap ki raahon se sab Dard chupa leinge,
Jab chahey hamain aazmaa lena.
Dil mein ab Dard-e-Mohabbat ke siva kuch nahi,
Zindagi mein ab teri Ibadat ke siva kuch nahi,
Mein Tohfe mein tujhe kya pesh karu,
Mere daman mein kaanton ke siva kuch nahi.
Duniya mein sab begane hain,
Jise hum chahte hai woh auron ke Deewanay hain,
Guzre kal ki yahi kahani hain,
Kuch khud baraad hue kuch unki meharbaani hain.
Hum khak Zamee ki ho kar ,
Uss Chand ki hasrat kar baithe,
Woh cheez khuda se unchi thi,
Hum jiss se Mohabbat kar baithe.