SMS / Text Messages

Wastay nahi chaltay

Sochnay samajhnay say,
sath sath chalnay say,

doriyan simat ti hain,
faslay nahi chaltay,

khawab khawab ankhon main,
ratjagay nahi chaltay,

darguzar k halqay main,
maslay nahi chaltay,

dosti k raston ki,
parwarish zarori hai,

dosti k rastay main,
khafgiyan nahi chalti,

do dilon ki qurbat main,
Teesra nahi hota,
wastay nahi chaltay.

Sadion say jaagi aankhon ko ...

Sadion say jaagi aankhon ko ek baar sulanay aa jao
Mana k tum ko pyar nahi nafrat hee jatanay aa jao

Jis mor pay hum ko chor gaye hum baithay ab tak soch rahay
Kya bhool hui kyou juda huway bus yeh samjhanay aa jao

Har lamha teri furqat mein hum tarsay rahay
Meri manoo tum is dil ko kuch pal behlanay aa jao

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon

Waqt-e-dua main ek dua karon

Waqt-e-dua main ek dua karon,
main rab se ek eltija karon,

tu khush rahe,
tu shaad rahe,
teray dil ka angar abaad rahay,
tu har pal yun hi hansa kare,
tu phulon ki manind khila kare,
teri zindagi main koi ghum na ho,
teri aankh kabhi num na ho,
tujhey kisi se koi gila na ho,
koi dukh tujhey mila na ho,
teri rad kabhi dua na ho,
tee lab py koi sada na ho,
tujhey bin mange wo ataa karay,
teri maaf her ek khata karay....!

Ameen..!

aik mein bhi tanha they sau(100) mein bhi akailey hein

Zindagi ki raahon mein Ranj-o-gham ke mele hein
bheer hey qayamat ki ...phir bhi hum akailey hein

sazishein zamaney ki kaam ker gain aakhir
aap hein udher tanha ...hum idher akailey hein

bheer hey qayamat ki ...phir bhi hum akailey hein

ab to apna saya bhi kho gaya andheron mein
aap se bichar ker hum kis kadar akailey hein

kon kis ka sathi hey hum to gham ki manzil mein
pehley bhi akailey they ...aaj bhi akailey hein

aainey ke soo tukrey ker ke hum ne dekhey hein
aik mein bhi tanha they soo mein bhi akailey hein

bheer hey qayamat ki phir bhi hum akailey hein
zindagi ki raahon mein ranj-o-gham ke mele hein

paas hey sawa jiskey eik na ik haseen katil
justiju mein katil ke ...siraf hum akailey hein

bheer hey qayamat ki ... phir bhi hum akailey hein
zindagi ki rahoon mein ranj-o-gham ke mele hein

Abhi kuch dair baqi hai...!!

Abhi kuch dair baqi hai...!!
Khizan k beet janay main,
Guloun k Muskuranay main,
Khushi k geet ganay mein,
Baharon k zamanay main,
Abhi kuch dair baqi hai..!
Main tum ko bhool jaonga..!
Na tum ko Yaad aaonga..!
Main tum se dour reh k bhi,
Tumhain jee ker dikhaonga..!
Tumhain maloom hay laikin,
Yeh sub main kar na paaonga,
K tum ko bhool janay main,
Abhi kuch dair baqi hay..!

Farz karo..!

farz karo tum chat per baithe
apne baal sukhatey hoo.

farz karo ke dhoop
ka us din kuch kuch rang gulaabi hooo.

farz karo tum baithe baithe
gehri souch main kho jao.

baal sukhana choord ke sar
ghutnoon pe rakh kar so jao.

farz karo us neend main
tum ne dekha asai sapna hooo.

bekal hokar man ye chahey
kaash ye sapna apna hooooo.

farz karo tum khat likhne ko
kaghaz qalam uthatey hoo.

khat likhne se pehle kaghaz
ko khushboo khoob lagatey hooo.

farz karo alqaab pe aakar
qalam tumhara ruk jaey.

nazar tumhai dhak dhak
karke dil ki janib jhuk jaey.

farz karo aik naam likho
aur likh kar kato phir likho.

farz karo sapne afsane khat
ka naam muhabbat ho.

farz karo hum donon ke dil aik
hi saath dhardakte hooon.

farz karo ye saari baatain
FARZ na karni pardti hoon

Hum Nahi Chahatay

Shaam-e-Fursat Dhalay, Hum Nahi Chahatay,
Ghum Say Fursat Milay, Hum Nahi Chahatay.....

Phir Naya Waar Sehne Ko taiyyar Hain,
Tu Parayshan Rahay, Hum Nahi Chahate.....

Aaj Aansoo Bahanay say, Mut Roko,
Aaj Barish Thumay, Hum Nahi Chahatay.....

Hum Teray Baad Ujray Hon, To bhi Theek Hai,
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahate..... .

Teray Pekar Ko Ham Dekhte Hi Rahein,
Tu Nazar Say Hatay, Ham Nahi Chahate.....

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Ye Moujon Ka Shor,
Ghum Ka Dariya Ruke, Ham Nahi Chahate.....

Iss Qadar Piyar say Tu Pukara na Kar,
Aag Dil Ko Lagay, Hum Nahi Chahate....

Main duniya bhool jata hon

Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon,

Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon,
Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon,
Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon,

Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon,
Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon

Aik pyari si larki hay wo

Aik pyari si larki hay wo,
Meray dil main rehti hay jo,

Meray sapni ki rani hay,
Dil mein dharkan ki tarah basti hay wo,

Jaisay dariya main kanwal khila ho,
Itna pyara hasti hay wo,

Koyal ki koo koo say ziyada,
Geet sureela gati hay wo,

Anakhan us ki, kiya kehna
Jaisay koi neeli jheel or wo,

Mera uska rishta hay kuch aisa,
Jaisay dil hon main aur dharkan wo,

Kuch khafa khafa si lagti hay,
Najanay aaj kion chup baithi hay wo.

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,

Jab chand sitare chamak rahe hon,
Jab yadon k phool mehek rahe hon,
Jab deed ko nain taras rahe hon,
jab ankhon se ansu baras rahe hon,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Jab tanhai se dil ghabrae ga,
Jub tumhein akela pan sataye ga,
Jab koi khuab he na aye ga,
Jab phool kitab mein he reh jayenge,

Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi

Ejazat day do

Khud ko is dil main basanay ki ijazat day do,
Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do,

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho,
Pholon say khud ko sajanay ki ijazat day do,

Mein kitna chahta hon kis tarah bataon tumhein,
Mujhey yeh batanay ki ijazat day do,

Tumhari raat si zulfon mein chand sa chahra,
Yeh jaan tum phir lutanay ki ijazat day do,

Nahin shoq Saqib ko bhool ka magar,
Mujhey yeh duniya bhool janay ki ijazat day do