SMS / Text Messages

TUMHAARI YAAD KAY JAB ZAKHAM BHARNAY LAGTAY HAIN

Tumhaari yaad kay jab zakham bharney lagtey hain
Kisi bahaaney tumko yaad karney lagtey hain

Hadees-e-yaar kay unwaan nikharney lagtey hain
Toh hareem mai gaisoo sanwarney lagtey hain

Her ajnabi humein mehram dikhaai daita hai
Jo ab bhi teri galli say guzarney lagtey hain

Saba say kartey hain ghurbat naseeb zikr-e-watan
Toh chashm-e-subah mai ansoo ubharrney lagtey hain

Wo jab bhi kartey hain us nuqta lab ki bukhiya giri
Fiza mai aur bhi naghmey bikharney lagtey hain

Dar-e-qafas pay andheray ki mohor lagti hai
Toh *Faiz* dil mai sitaarey utarney lagtey hain

Hum pyaar k bhooke hain humey pyar kijiye

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye

Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?

Kamosh Zabaan Ke Lafzon Mein
Kuch Posheeda Si Baatein Hai

In Posheeda Si Baaton Mein
Kuch Chahat Ki Barsaatein Hain

In Baaton Ko Hum Muddat Se
Seenay Mein Chhupaye Bethey Hain

Kuch Paaye Bina Kuch Kho Dena
Ye Piyaar Mein Ham Ne Seekha Hai

Sooraj Mein, Chand Sitaron Mein
Har Shai Main Tumhi Ko Dekha Hai

Dharkan Mein Bhi Naghma Ban Kar
Saagar Ki Tarah Tum Behtey Ho

Ye Piyaar Nahi To Tumhi Kaho?
Phir Piyaar Kisey Tum Kehtey Ho?

Mohabbaton k baad bhi..

Main usay kaise aikaila chor don is rah main
sath jo chalta raha majboriyon k baad bhi.

ban k khusboo rach gya hy yun mere ehsas main
door ho paya nahi woh dooriyon k bad bhi

rafta rafta us ko bhi ye duniya ra'as aa gye
muskra k woh mila hy ranjishon k bad bhi

fasly kb kum howay hain rabton k bad bhi
ajnabi thay ajnabi hain "mohabbaton" k baad bhi

Tere naam

Surkh gulab k sare mausam tere naam,
Har subha ka pehla ujala tere naam,

Teri yaad ka behta darya mere liye,
Behti jheel main phool KANWAL ka tere naam,

Jitnay khawab Khuda ne mere naam likhay,
Un khawabon ka resha resha tere naam,

Tere bina jo umr betai beet gai,
Ab is umr ka baqi hisa tere naam

Sada Muuskurate raha Karo

Meri Laghzishen na Chuna karo
Meri Ghaltiyan na Gina Karo,

Ye Qadam Qadam ki Hudood kya
Mere sath sath chala karo,

main khulay mizaj ka shakhs hoon
main takallufat se Marwa,

ye jo Mehrbani ka lafz hai,
ise tum na mujh se kaha karo,

Kahin tum na ho jao besakun
koi Bad'dua na tumhain lage

ye jo khoye khoye se log hain
inhe dekh kar na hasa karo

ye dua hai Rab-e-Rahim se
Teri Tazgi ko khizan na ho

ye bahar tujh se jala kare
sada muskurate raha karo
Sada muskurate raha karo....

Barsaat Reh Gai..

Mil Kar Bhi Ussay Hasrat-E-Mulaqat Reh Gai,
Baadal To Ghar Aaey thay Barsaat Reh Gai,

Wo Aaj Yun Mila K Hamain Janta Na Ho,
Lab To Meray Khulay Thay Magar Baat Reh Gai,

Mai Haar K Bhi Khush Hoon k Tum Jeet To Gaey,
Qismat Main Meri Maat Thi So Maat Reh Gai,

Daaman Main Kya Rakha Hai Is K Siwa Bas,
Bakhshay Jo Tu Nay Zakhm Wo Soughaat Reh Gai,

Kya Kya Badal Rahay Hain Yahan Mousam Khabar Nahi,
DiL K Nagar Main Raat Thi So Raat reh Gai... )

SaiN

kuch dil ki laghi

Kuch Dil Ki Lagi Tum Chero,
Kuch Dil Lagana Hum Sikhayen..

Kuch Pyar Ki Baatein Tum Karo,
Kuch Pyar Nibhana Hum Sikhayen.

.Kuch Nazar Ka Ishara Tum Karo,
Kuch Aankh Milana Hum Sikhayen..

Kuch Jan KI Baazi Tum Lagao,
Kuch Jan Sey Jana Hum Sikhayen..

Kuch Thora sa Hans K Tum Dakho,
Kuch Muskurana Hum Sikhayen..

Kuch Milney Ki Aas Tum Do,
Kuch Waqt Pey Aana Hum Sikhayen..

Dil Per Tum Bus Hath Rakh Do,
Kuch Dil Dharkana Hum Sikhayen..

Kuch Pyar Sey Paas Tum Aao,
Kuch Galey Lagana Hum Sikhayen

Simple truth of present

Simple truth of present:
if u dont want to know whats pain,
don't love anyone truely.

If someone loves you truly,
never show them whats pain.
~Author Unknown

tere khushbuu men base Khat main jalaataa kaise

tere khushbuu men base Khat main jalaataa kaise
pyaar men Duube huye Khat main jalaataa kaise
tere Khat aaj main gangaa men bahaa aayaa huuN
aag bahate hue paanii men lagaa aayaa huuN

jin ko duniyaa kii nigaahon se chhupaaye rakhaa
jin ko ik umr kaleje se lagaaye rakhaa
diin jin ko, jinhen iimaan banaaye rakhaa

tune duniyaa kii nigaahon se jo bachkar likhe
saalahaasaal mere naam baraabar likhe
kabhii din men to kabhii raat men uThakar likhe

pyaar men Duube huye Khat main jalaata kaise
tere haathon ke likhe Khat main jalaata kaise
tere Khat aaj main gangaa men bahaa aayaa huuN
aag bahate huye paannii men lagaa aayaa huuN

Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib

Sab kuch milta hai is jahan mein Saquib
Nahin milta to guzra hoa pal nahin milta

Kartey rahen ge younhi sairab zameenen
In aansoon ko ab koi aanchal nahin milta

Ghurbat mein mayyasar kahan khushion ki dilbari
Sehra mein kisi ko kabhi baadal nahin milta

Kahney ko gham khowar-o-chara saaz hain bohat
Amlann kisi ke saath koi shamil nahin milta

Ham imaan ki dolat liye shahadat ke muntazir
Hamari safon mein koi buzdil nahin milta.

Door jate howe logoo ko bulate rehna.

Lakh doori ho magar ehad nibhate rehna.
Jub b barish ho mera soog manate rehna.

Tum gay ho to sari shaam ye adat tehri.
Bus kinare pe khare hath hilate rehna.

Jane is dil ko ye adab kahan se aaye.
Us ki rahoo me nigahoo ko bichate rehna.

1 modat se ye maamool howa hai ab to.
Aap hi roothna aap hi manate rehna.

Tum ko maaloom he Saqi, ye pagal pan he.
Door jate howe logoo ko bulate rehna.