Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
posted in Poetry SMS |
Jo rehtay hain sada dil mein unhain dhoonda nahi kertay
Jo ruch jain rag o pay mein unhain socha nahi kertay
Baharon kay ghanay saye mein tulkhi bhi, chubhan bhi hai
Bamon ki dhoop ka tum say mager shikva nahi kertay
Nahi aatay kabhi bhi laot ker guzray huay maosam
Barastay badlon ki aas mein tarsa nahi kertay
Tajasus aur berhta hai machal jatay hain sun ker hum
Achanak piyar ki baton ka rukh mora nahi kertay
Teri nazer e inayat say huay jatay hain jo ghayal
Unhain qatil nigahoon say kabhi dekha nahi kertay
Similar SMS / Text messages
- Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay
- Jub teri dhun main jiya kertay thay
- badalta nahi pyar kabhi magar…
- Khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain
- Mohabbat hum bhi kertay hain
- Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain
- Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib
