Aisa na ho k doriyan dard ban jayain
Tumhari yadon ki mehak in hawaon main hay,
Pyar hi pyar bikhra in fazaon main hay,
Aisa na ho k doriyan dard ban jayain,
Ab to aap k message ka intezar nigahon main hay..
Tumhari yadon ki mehak in hawaon main hay,
Pyar hi pyar bikhra in fazaon main hay,
Aisa na ho k doriyan dard ban jayain,
Ab to aap k message ka intezar nigahon main hay..
phool ban ker muskurana zindagi hay
Musura k ghum bhulana zindagi hay,
Mil ker log khush hotay hain to kia howa
Bina milay dosti nibhana bhi zindagi hay
Lay k hum dosron ki hansi kia karain
jo apni nahin woh khushi kia karain
Tanha jeenay say behtar hay mar jayain hum,
Jub saath tum nahin to zindagi jee ker kia karain
Aap to manzil ko mushkil samajhtay hain
Hum aap ko apni manzil samajhtay hain,
Bara farq hay aap k aur hamaray nazariye main
aap humain sapna aur hum aap ko apna samajhtay hain
Meray kum sakhan ka yeh hukum tha,
K kalam us say mein kum keron
Meray hont aisay silay
k phir meri chup nay us ko rula dia
Mahek teri aaj bhi meri Saanson mein hai,
Har ek adaa bhi teri meri Aankhon mein hai,
Tu bhaley hi bhula dey mujh ko,
Teri jagah aaj bhi meri Yaadon mein hai.
Woh humein bhulane ki baat karte hain,
Zara pucho humein kitna Yaad karte hain,
Chehre pe hasi ka dikhawa hain,
Magar Tanhaii mein Aansuon se Fariyaad karte hain.
Jaane kyun iss jahan mein aisa hota hai,
Khushi jise mile wohi Rota hai,
Umar bhar saath nibha na sake jo,
Jaane kyun Pyaar ussi se hota hai.
Jiss din band ho gayi meri Aankhein,
Kayi Aankhon se uss din aansu barseinge,
Jo kehte hai bahut bolta hai,
Kabhi wohi meri Aawaz sunne ko tarseinge.
dil majboor ho raha hay tum se bat karnay ko,
bus zid yeh hay k guftugu ka aghaaz tum karo.
Kamabakth Ishq ne aaj mujhe rula diya,
Jis pe marta tha usne hi bhula diya,
Mein bhi uski Yaad bhulane k liye peeta gaya,
Ek din zalim ne us mein bhi Zeher mila diya.
Dard hota nahi Duniya ko dikhane k liye,
Har koi rota nahi Aansu bahane k liye,
Ruthne ka mazaa to tab aata hai,
Jab koi apna ho manane k liye.