SMS4Smile.com

Latest SMS / text messages & jokes [Love / Funny / good night / good morning / romantic / birthday & adult]

Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka

posted in Ghazal SMS |

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay

Similar SMS:

  1. TUMHAARI YAAD KAY JAB ZAKHAM BHARNAY LAGTAY HAIN
  2. Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain
  3. AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
  4. Samandar to samandar hai, kabhi bola nahin kertay
  5. Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata