Kabhi kisi se zikar-e-judai mat karna..
Kabhi kisi se zikar-e-judai mat karna..
Is DIL se kabhi ruswai mat karna..
Jab dil uth jaye humsey to bata dena.
Na bata kar bewafai mat karna.
Kabhi kisi se zikar-e-judai mat karna..
Is DIL se kabhi ruswai mat karna..
Jab dil uth jaye humsey to bata dena.
Na bata kar bewafai mat karna.
Bhoolna tumhain na asaan hoga,
jo bhule tumhain woh nadaan hoga.
Aap to basti ho rooh mein hamari,
Aap humain na bhulain ye apka ehsan hoga.
Meri har khata par naraz na hona,
Apni pyari si muskan kabhi na khona,
Sukoon milta he dekhkar apki muskurahat ko,
Mujhe maut bhi aye to bhi mat rona
Dil ki dhadkanain sunain kaisay,
Hum apne dil ka haal batain kaisay,
Dil hai jis k liye dewana,
Use hum apna banain kaisay,
Apney bhi aab paraye lagte hai,
Hum apne pyaar is zalim dunia se chupa'ain kaisay.
Main tujh ko chaand kahon yeh mumkin to hay magar,
log tujhey raat bhar dekhain yeh gawara nahin mujhey
Dard se dosti ho gayi yaaro,
Zindagi bedard ho gayi yaaro.
Kya hua jo jal gaya aashiyana hamara,
Duur tak roshni to ho gayi yaaro....
Manzilain bhi uski thi,Rasta bhi uska tha.
Ek main akela tha,Kafila bhi uska tha..
Sath-Sath chalne ki soch bhi uski thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...
Aaj kyun akela hoon,Dil sawal karta hai,
Log to uske the,Kya KHUDA bhi uska tha....?
Mat karo koi wada jise tum nibha na sako,
Mat chaho usey jisey tum pa na sako,
Pyar kahan kisi ka pora hota hay,
Iska to pehla shabd hi adhoora hota hay
Haseena'on ka qafla masjid ki aur ja raha tha, hamne bula liya.
Hum toh barbad ho chuke the sanam khuda ko barbad hone se bacha liya.
Chand ko chandani par garoor hai,
Chandni ko chand par.
Ham kis par garoor karein,
hamara to chand hi hamse duur hai.
Meetha sa dard dil mein utha abhi abhi,
Kya tune yaad kiya abhi abhi?
Ek arse se mulaqat nahi hui
Phir bhi lagta hai tum mile abhi abhi.
Yun nazar ki baat aur dil chura gaye,
Andhero ke saaye mein dhadkan suna gaye,
Hum to samjhe the "Ajnabi" aapko,
Aap to hume apna bana gaye