Mana yeh waqt hame yaad karne wala nahi
Mana yeh waqt hame yaad karne wala nahi,
par bewaqt he yaad karliya karo,
mana aapke aspas sari duniya hai,
kabhi hamari kamika bhi ehsas karliya karo
Mana yeh waqt hame yaad karne wala nahi,
par bewaqt he yaad karliya karo,
mana aapke aspas sari duniya hai,
kabhi hamari kamika bhi ehsas karliya karo
Chandni raat main jab sara jahan sota hai
kisi ki yaad main koi badnaseeb rota hai
Zakham aisa diya k koi dawa kaam na aayi,
aag aise lagayi ki paani se bhi bhuj na payi,
aaj bhi rote hain unki yaad main,
jinhe hamari yaad hamare guzar jane par bhi na aayi
Bhool jane ka hosla na hua,
door rah kar bhi wo juda na hua,
unse mil kar kisi aur se kya milte,
koi dusra unke jaisa na hua
Hum agar aapse mil nahi patay
aisa nahin ke hamein aap yaad nahi aatay,
mana jahan k sab rishte nibhaye nahi jatey,
par jo bas jatey haib dil maib phir bhulae nahi jatey..
Nazar nawaz nazron main ji nahin lagta,
Fiza gayai to baharon main ji nahin lagta,
Na poch mujh say terey ghum main kia guzarti hay,
yahi kahonga hazaron mein jee nahin lagta.
Pyar ke ujalon main ghum ka andhaira hion aata hai,
Jisko hum chahtey hain wohi kion rulata hay?
Merey khuda agar wo mera naseeb nahi
to aisay logon say phir mujhey kion milata hay?
Waqt guzrey ga hum bikhar jayenge,
kaun jane ke hum kidhar jayenge,
hum apki parchayi hain yaad rakhna,
jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge
Log phoolon sey mohabbat kartey hain,
kaaton ko kis ney yaad kiya,
hum kaaton sey mohabbat kartey hain,
kyun k phool ney hamain barbaad kiya
Kaanch chubhey to nishan reh jaata hai,
dil totay to armaan reh jaata hai,
laga to deta hai waqt marham is dil par,
phir bhi umar bhar ek zakhm reh jata hai
Tujh sey dosti karne ka hisab na aya,
mere kisi bhi sawal ka jawab na aya,
hum to jagte rahe tere hi khayalon main,
aur tujhey so kar bhi hamara khuwab na aya...!
Hum nibhayenge dosti marte dum tak,
hum hasayenge tumko gham se khushi tak,
aye dost kabhi humse naraz na hona,
saath rehna hamare akhiri dum tak